bachcha
nanhā-munnā bachcha huuñ maiñ
lekin bilkul sachchā huuñ maiñ
paḌhnā mujh ko kam hai bhātā
khel meñ lekin pakkā huuñ maiñ
medam kahtīñ tum ho gande
mammī kahtīñ achchhā huuñ maiñ
bhayyā baajī sab se laḌtā
nahīñ kisī se Dartā huuñ maiñ
chhoḌūñgā ab saarī sharārat
tauba un se kartā huuñ maiñ
nanha-munna bachcha hun main
lekin bilkul sachcha hun main
paDhna mujh ko kam hai bhata
khel mein lekin pakka hun main
medam kahtin tum ho gande
mammi kahtin achchha hun main
bhayya baji sab se laDta
nahin kisi se Darta hun main
chhoDunga ab sari shararat
tauba un se karta hun main
- Book : Ghunchay (Pg. 12)
- Publication : Educational publishing house (Raza -Rehman Akif Sambhali)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.