bachchon ka git
laḌakpan kī ḳhushiyoñ kā e.ajāz haiñ ham
Thaharte nahīñ josh-e-parvāz haiñ ham
ki maañ baap ke dil kī āvāz haiñ ham
hamārā gulistāñ hamārī bahāreñ
hamīñ haiñ buzurgoñ ko bahlāne vaale
sharārat meñ dilchaspiyāñ paane vaale
sitāroñ se laḌ laḌ ke so jaane vaale
hamārī bahāreñ hamārā gulistāñ
kabhī josh meñ jhuum kar ham jo gaa.eñ
kabhī mast ho kar jo dhūmeñ machā.eñ
farishte nigāhoñ meñ jalve dikhā.eñ
hamārī bahāreñ hamārā gulistāñ
ghaTāoñ ne ham ko machalnā sikhāyā
havāoñ ne karvaT badalnā sikhāyā
sitāroñ ne be-ḳhauf chalnā sikhāyā
hamārī bahāreñ hamārā gulistāñ
gul-e-zindagī hai nikharte raheñge
nikharte raheñge sañvarte raheñge
na.ī manziloñ se guzarte raheñge
hamārī bahāreñ hamārā gulistāñ
laDakpan ki KHushiyon ka eajaz hain hum
Thaharte nahin josh-e-parwaz hain hum
ki man bap ke dil ki aawaz hain hum
hamara gulistan hamari bahaaren
hamin hain buzurgon ko bahlane wale
shararat mein dilchaspiyan pane wale
sitaron se laD laD ke so jaane wale
hamari bahaaren hamara gulistan
kabhi josh mein jhum kar hum jo gaen
kabhi mast ho kar jo dhumen machaen
farishte nigahon mein jalwe dikhaen
hamari bahaaren hamara gulistan
ghaTaon ne hum ko machalna sikhaya
hawaon ne karwaT badalna sikhaya
sitaron ne be-KHauf chalna sikhaya
hamari bahaaren hamara gulistan
gul-e-zindagi hai nikharte rahenge
nikharte rahenge sanwarte rahenge
nai manzilon se guzarte rahenge
hamari bahaaren hamara gulistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.