bachchon ka KHat chacha KHarru shechof aur mamun candy
bachchon ka KHat chacha KHarru shechof aur mamun candy
Raja Mehdi Ali Khan
MORE BYRaja Mehdi Ali Khan
ai chachā ḳharrū shichof ai māmūñ candy assalām
ek hī ḳhat hai ye māmūñ aur chachā donoñ ke naam
aap donoñ kā adab karnā hamārā farz hai
phir bhī sun liije jo chhoTī sī hamārī arz hai
aap donoñ haiñ bahādur sūrmā kyā is meñ shak
ek bādal kī garaj hai ek sho.ale kī lapak
aap donoñ ke bayāñ sun sun ke Dar jaate haiñ ham
dham se aa girte haiñ ham bachchoñ pe ye lafzoñ ke bam
Dar ke chhup jaate haiñ apnī maaoñ ke āġhosh meñ
kaash ham behosh ho kar phir na aa.eñ hosh meñ
aap donoñ laḌ paḌe to jaane kyā ho jā.egā
do minute meñ is jahāñ kā ḳhātma ho jā.egā
aag lag jā.egī is duniyā ko mar jā.eñge sab
jo bayāñ dete haiñ vo ḳhāmosh ho jā.eñge lab
do minute zinda raheñge ham bhī marne ke liye
kaun phir baaqī rahegā raaj karne ke liye
aisā lagtā hai ki kuchh din aur jiinā hai muhāl
gar nahīñ apnā to bachchoñ hī kā kuchh kiije ḳhayāl
ik taraf nafrat khaḌī hai dūsrī jānib ġhurūr
qahr kī chakkī meñ pis jaa.eñ na bachche be-qusūr
le chuke haiñ aap to jī bhar ke duniyā ke maze
ham ko in se duur rakhnā chāhte haiñ kis liye
gar ijāzat ho to ham bachche bhī duniyā dekh leñ
chaar din ham bhī ye bhālū kā tamāshā dekh leñ
kuchh bhī to schōl aur ghar ke sivā dekhā nahīñ
aap kahiye aap ne duniyā meñ kyā dekhā nahīñ
jañg mat kiije na duniyā kī imārat Dhā.iye
sochiye kuchh ġhaur kiije dekhiye baaz aa.iye
aap ne duniyā sajā.ī thī miTāne ke liye
aql kī sham.eñ jalā.ī thiiñ bujhāne ke liye
ilm-o-hikmat science ne kī thī taraqqī ke liye
aql kī sham.eñ jalā.ī thiiñ bujhāne ke liye
ilm-o-hikmat science ne kī thī taraqqī kis liye
nīst-o-nābūd aaj ham kar deñ use kyā is liye
ham ne maanā aap kā aapas meñ hai kuchh iḳhtilāf
ik jagah ham baiTh kar kar leñ na kyuuñ dil apne saaf
apnī is duniyā kī hālat is qadar jab zaar hai
is ko dekheñ chāñd meñ jaanā abhī be-kār hai
duur kiije dil se nafrat aur gale mil lījiye
zindagī kī justujū meñ ḳhud-kushī mat kījiye
jañg karnī hai to kiije ho magar aisī vo jañg
āsmāñ bhī jañg aisī dekh kar ho jaa.e dañg
jañg ke baare meñ ham bachchoñ kī ik tajvīz hai
taaki sab ḳhush ho ke boleñ jañg achchhī chiiz hai
aap ko ma.asūm bachchoñ kā hai gar kuchh bhī ḳhayāl
baiThe baiThe ek dam ho jā.iye ġhusse se laal
kho.e kī topeñ liye maidān meñ aa jā.iye
in se ras-gulloñ ke gole har taraf barsā.iye
mīThe gole aap kī topoñ ke ham khāte raheñ
hoñT ye qaumī tarāne dam-ba-dam gaate raheñ
hoñ har ik bandūq meñ rabḌī ke rañgīñ kartōs
aur har ik tank kī Tañkī meñ mausammī kā juice
aap ke dushman kī faujoñ ko ho jab ġhusse kī pyaas
pesh kiije muskurā kar un ko sharbat kā gilās
duudh ke sāgar meñ hoñ kuuze kī misrī ke jahāz
jis meñ hoñ jāsūs siine meñ liye toffē ke raaz
bam phaTeñ to un se nikleñ jhaT khilaune be-shumār
Thā ho aur lag jaa.e guDDoñ aur guḌiyoñ kī qatār
gar koī bīmār ho chillā rahā ho pen se
chokleT pahuñchā.iye jhaT us ko airplane se
koī nā-māqūl aa kar gāliyāñ bhī de agar
us se kahiye bhaag jā haT tere muñh meñ ghī shakar
tiir ulfat ke chaleñ golī chale ehsān kī
ḳhatm kar diije ra.ūnat is tarah insān kī
chappe chappe par jahāñ meñ aise atom-bomb phaTeñ
is jahālat ke añdhere meñ ujālā jo kareñ
rockitoñ meñ ho madad lākhoñ ġharīboñ ke liye
aur agan būToñ meñ ḳhushiyāñ bad-nasīboñ ke liye
bhūke bachchoñ par falak se roTiyāñ barsā.iye
moze juute kuchh qamīzeñ nekareñ phikvā.iye
jañg kī bārūd meñ zaa.e.a na kiije māl-o-zar
muskurā kar Dāliye lākhoñ ġharīboñ par nazar
jo ġharībī kī thakan se ho rahe haiñ chūr-chūr
un kī jebeñ fāltū noToñ se bhar diije huzūr
pyaar kā ulfat kā har zaḳhmī ko marham dījiye
apnī ḳhushiyāñ de ke dukh vāloñ ke dukh le lījiye
jo bhalā.ī meñ maza hai vo burā.ī meñ nahīñ
bandagī meñ jo maza hai vo ḳhudā.ī meñ nahīñ
ye jahāñ pyārā jahāñ kyuuñ jañg meñ barbād ho
is zamīñ par kyoñ na jannat pyaar kī ābād ho
joḌ kar ham haath nanhe ḳhat ko karte haiñ tamām
aap ke bachchoñ ko sab duniyā ke bachchoñ ko salām
ai chacha KHarru shichof ai mamun candy assalam
ek hi KHat hai ye mamun aur chacha donon ke nam
aap donon ka adab karna hamara farz hai
phir bhi sun lije jo chhoTi si hamari arz hai
aap donon hain bahadur surma kya is mein shak
ek baadal ki garaj hai ek shoale ki lapak
aap donon ke bayan sun sun ke Dar jate hain hum
dham se aa girte hain hum bachchon pe ye lafzon ke bam
Dar ke chhup jate hain apni maon ke aaghosh mein
kash hum behosh ho kar phir na aaen hosh mein
aap donon laD paDe to jaane kya ho jaega
do minute mein is jahan ka KHatma ho jaega
aag lag jaegi is duniya ko mar jaenge sab
jo bayan dete hain wo KHamosh ho jaenge lab
do minute zinda rahenge hum bhi marne ke liye
kaun phir baqi rahega raj karne ke liye
aisa lagta hai ki kuchh din aur jina hai muhaal
gar nahin apna to bachchon hi ka kuchh kije KHayal
ek taraf nafrat khaDi hai dusri jaanib ghurur
qahr ki chakki mein pis jaen na bachche be-qusur
le chuke hain aap to ji bhar ke duniya ke maze
hum ko in se dur rakhna chahte hain kis liye
gar ijazat ho to hum bachche bhi duniya dekh len
chaar din hum bhi ye bhaalu ka tamasha dekh len
kuchh bhi to school aur ghar ke siwa dekha nahin
aap kahiye aap ne duniya mein kya dekha nahin
jang mat kije na duniya ki imarat Dhaiye
sochiye kuchh ghaur kije dekhiye baz aaiye
aap ne duniya sajai thi miTane ke liye
aql ki shamen jalai thin bujhane ke liye
ilm-o-hikmat science ne ki thi taraqqi ke liye
aql ki shamen jalai thin bujhane ke liye
ilm-o-hikmat science ne ki thi taraqqi kis liye
nist-o-nabud aaj hum kar den use kya is liye
hum ne mana aap ka aapas mein hai kuchh iKHtilaf
ek jagah hum baiTh kar kar len na kyun dil apne saf
apni is duniya ki haalat is qadar jab zar hai
is ko dekhen chand mein jaana abhi be-kar hai
dur kije dil se nafrat aur gale mil lijiye
zindagi ki justuju mein KHud-kushi mat kijiye
jang karni hai to kije ho magar aisi wo jang
aasman bhi jang aisi dekh kar ho jae dang
jang ke bare mein hum bachchon ki ek tajwiz hai
taki sab KHush ho ke bolen jang achchhi chiz hai
aap ko masum bachchon ka hai gar kuchh bhi KHayal
baiThe baiThe ek dam ho jaiye ghusse se lal
khoe ki topen liye maidan mein aa jaiye
in se ras-gullon ke gole har taraf barsaiye
miThe gole aap ki topon ke hum khate rahen
honT ye qaumi tarane dam-ba-dam gate rahen
hon har ek banduq mein rabDi ke rangin kartoos
aur har ek tank ki Tanki mein mausammi ka juice
aap ke dushman ki faujon ko ho jab ghusse ki pyas
pesh kije muskura kar un ko sharbat ka gilas
dudh ke sagar mein hon kuze ki misri ke jahaz
jis mein hon jasus sine mein liye toffee ke raaz
bam phaTen to un se niklen jhaT khilaune be-shumar
Tha ho aur lag jae guDDon aur guDiyon ki qatar
gar koi bimar ho chilla raha ho pen se
chokleT pahunchaiye jhaT us ko airplane se
koi na-maqul aa kar galiyan bhi de agar
us se kahiye bhag ja haT tere munh mein ghi shakar
tir ulfat ke chalen goli chale ehsan ki
KHatm kar dije raunat is tarah insan ki
chappe chappe par jahan mein aise atom-bomb phaTen
is jahaalat ke andhere mein ujala jo karen
rockiton mein ho madad lakhon gharibon ke liye
aur agan buTon mein KHushiyan bad-nasibon ke liye
bhuke bachchon par falak se roTiyan barsaiye
moze jute kuchh qamizen nekaren phikwaiye
jang ki barud mein zaea na kije mal-o-zar
muskura kar Daliye lakhon gharibon par nazar
jo gharibi ki thakan se ho rahe hain chur-chur
un ki jeben faltu noTon se bhar dije huzur
pyar ka ulfat ka har zaKHmi ko marham dijiye
apni KHushiyan de ke dukh walon ke dukh le lijiye
jo bhalai mein maza hai wo burai mein nahin
bandagi mein jo maza hai wo KHudai mein nahin
ye jahan pyara jahan kyun jang mein barbaad ho
is zamin par kyon na jannat pyar ki aabaad ho
joD kar hum hath nanhe KHat ko karte hain tamam
aap ke bachchon ko sab duniya ke bachchon ko salam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.