bachchon ka mela
hameñ bhī le chalo bachchoñ kā mela ham bhī dekheñge
chalo ammī chalo chal kar tamāshā ham bhī bhī dekheñge
zarā in chhoTe qadmoñ se ye uThtī taan to dekho
baḌe bāñke sipāhī haiñ nirālī shaan to dekho
zarā ye jashn-e-āzādi-e-hindostān to dekho
baḌā dilkash hai P T kā nazārā ham bhī dekheñge
hameñ bhī le chalo bachchoñ kā mela ham bhī dekheñge
dukāñ ye toffē biscuit kī hai ai munne idhar aao
khilaune kaise pyāre haiñ ḳharīdo ghar ko le jaao
ye kaisī chaTpaTī hai chaaT aapā jaan khā jaao
ye bachche bechte haiñ kaisā saudā ham bhī dekheñge
hameñ bhī le chalo bachchoñ kā mela ham bhī dekheñge
udhar hai park bachchoñ kā chalo aao zarā ghūmeñ
zarā chakkar kā jhūlā jhuul kar hāthī pe jā baiTheñ
zarā taqdīr apnī āzmā.eñ lāTrī kholeñ
ye hañstī kheltī bachchoñ kī duniyā ham bhī dekheñge
hameñ bhī le chalo bachchoñ kā mela ham bhī dekheñge
kabaDDī hai na kanche haiñ na gillī hai na DañDā hai
na ye āvāragardī hai laḌā.ī hai na dañgā hai
nahīñ be-kār majma.a ye to ek ta.alīmī-mela hai
hameñ rokeñge kaise aaj abbā ham bhī dekheñge
hameñ bhī le chalo bachchoñ kā mela ham bhī dekheñge
hamein bhi le chalo bachchon ka mela hum bhi dekhenge
chalo ammi chalo chal kar tamasha hum bhi bhi dekhenge
zara in chhoTe qadmon se ye uThti tan to dekho
baDe banke sipahi hain nirali shan to dekho
zara ye jashn-e-azadi-e-hindostan to dekho
baDa dilkash hai P T ka nazara hum bhi dekhenge
hamein bhi le chalo bachchon ka mela hum bhi dekhenge
dukan ye toffee biscuit ki hai ai munne idhar aao
khilaune kaise pyare hain KHarido ghar ko le jao
ye kaisi chaTpaTi hai chaT aapa jaan kha jao
ye bachche bechte hain kaisa sauda hum bhi dekhenge
hamein bhi le chalo bachchon ka mela hum bhi dekhenge
udhar hai park bachchon ka chalo aao zara ghumen
zara chakkar ka jhula jhul kar hathi pe ja baiThen
zara taqdir apni aazmaen laTri kholen
ye hansti khelti bachchon ki duniya hum bhi dekhenge
hamein bhi le chalo bachchon ka mela hum bhi dekhenge
kabaDDi hai na kanche hain na gilli hai na DanDa hai
na ye aawaragardi hai laDai hai na danga hai
nahin be-kar majma ye to ek talimi-mela hai
hamein rokenge kaise aaj abba hum bhi dekhenge
hamein bhi le chalo bachchon ka mela hum bhi dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.