bachchon ka paigham watan ke nam
ham sulh-o-muravvat kā jab haath baḌhā deñge
ik umr ke rūThoñ ko aapas meñ milā deñge
mullā-o-barahman ab māyūs na hoñ hargiz
ham masjid-o-mandir ke jhagḌoñ ko chukā deñge
kyoñ dukh ho ġharīboñ ko ham kis liye haiñ āḳhir
jo un ko satā.eñge ham un ko miTā.eñge
aapas kī adāvat se har Dūbtī kashtī ko
ehsān o muravvat se ham paar lagā deñge
phir ġhair na samjheñge ik dūsre ko insāñ
jab un ko mohabbat kā ā.īna dikhā deñge
maz.hab ho koī lekin hai hind vatan apnā
ham 'zeb' vatan kī har bigḌī ko banā deñge
hum sulh-o-murawwat ka jab hath baDha denge
ek umr ke ruThon ko aapas mein mila denge
mulla-o-barahman ab mayus na hon hargiz
hum masjid-o-mandir ke jhagDon ko chuka denge
kyon dukh ho gharibon ko hum kis liye hain aaKHir
jo un ko sataenge hum un ko miTaenge
aapas ki adawat se har Dubti kashti ko
ehsan o murawwat se hum par laga denge
phir ghair na samjhenge ek dusre ko insan
jab un ko mohabbat ka aaina dikha denge
mazhab ho koi lekin hai hind watan apna
hum 'zeb' watan ki har bigDi ko bana denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.