bachchon ki bicycle
bachchoñ kī bicycle
maidān-e-jañg meñ
kisī kaam nahīñ aatī
tank ko aatā dekh ke
Dar ke maare chal nahīñ paatī
ghanTī nahīñ bajātī
ek jagah jam jaatī hai
itnī chhoTī ho jaatī hai
ki tank ko nazar nahīñ aatī
jab tank apnā rāsta banāte hue
us pe se guzar jaatā hai
to ek halkī sī āvāz
har taraf phail jaatī hai
ek chhoTā sā dhabba
zamīn pe numūdār ho jaatā hai
tank aage baḌhtā hai to bahut sī
chhoTī chhoTī bicycleñ
tank ko gher letī haiñ
ghanTiyāñ bajā bajā ke pāgal kar detī haiñ
bhāgne nahīñ detīñ
Darā Darā ke ḳhatm kar detī haiñ
bachchon ki bicycle
maidan-e-jang mein
kisi kaam nahin aati
tank ko aata dekh ke
Dar ke mare chal nahin pati
ghanTi nahin bajati
ek jagah jam jati hai
itni chhoTi ho jati hai
ki tank ko nazar nahin aati
jab tank apna rasta banate hue
us pe se guzar jata hai
to ek halki si aawaz
har taraf phail jati hai
ek chhoTa sa dhabba
zamin pe numudar ho jata hai
tank aage baDhta hai to bahut si
chhoTi chhoTi bicyclen
tank ko gher leti hain
ghanTiyan baja baja ke pagal kar deti hain
bhagne nahin detin
Dara Dara ke KHatm kar deti hain
- Book : saarii nazmen (Pg. 737)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.