Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachchon ki dua

Saeed Ahmad Saeed Kadwi

bachchon ki dua

Saeed Ahmad Saeed Kadwi

MORE BYSaeed Ahmad Saeed Kadwi

    Interesting Fact

    چندن و مانٹو کی دعا

    maiñ huuñ kamzor mirī azm tāqat de de

    mere allāh mujhe sabr daulat de de

    haq dāman na chhuTe jhuuT se maiñ duur rahūñ

    mujh ko sarkār-e-do-ālam itā.at de de

    māl-o-zar ḳharch ho bevāoñ yatīmoñ pe mirā

    mere allāh mujhe aisī saḳhāvat de de

    har nazar meñ tire mahbūb jalva ho nihāñ

    ḳhāliq-e-kaun-o-makāñ aisī basīrat de de

    jo qadam uTThe tirī rah meñ vo uTThe merā

    mujhe jazba-e-kāmil vo shujā.at de de

    maiñ rahūñ duur burā.ī se amal nek karūñ

    jo hai as.hāb allāh vo sīrat de de

    merā har kaam ho insāñ bhalā.ī ke liye

    ḳhidmat-e-ḳhalq karūñ aisī sa.ādat de de

    mere allāh mirī itnī duā hai tujh se

    mujh ko as.hāb-e-mohammad mohabbat de de

    main hun kamzor meri azm ki taqat de de

    mere allah mujhe sabr ki daulat de de

    haq ka daman na chhuTe jhuT se main dur rahun

    mujh ko sarkar-e-do-alam ki itaat de de

    mal-o-zar KHarch ho bewaon yatimon pe mera

    mere allah mujhe aisi saKHawat de de

    har nazar mein tere mahbub ka jalwa ho nihan

    KHaliq-e-kaun-o-makan aisi basirat de de

    jo qadam uTThe teri rah mein wo uTThe mera

    tu mujhe jazba-e-kaamil wo shujaat de de

    main rahun dur burai se amal nek karun

    jo hai ashab ki allah wo sirat de de

    mera har kaam ho insan ki bhalai ke liye

    KHidmat-e-KHalq karun aisi saadat de de

    mere allah meri itni dua hai tujh se

    mujh ko ashab-e-mohammad ki mohabbat de de

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now