bachchon ki sarkar
baḌoñ kā raaj to sadiyoñ se hai zamāne meñ
kabhī huā nahīñ duniyā meñ raaj chhoToñ kā
agar hameñ bhī mile iḳhtiyār ai logo
to ham dikhā.eñ tumheñ kām-kāj chhoToñ kā
mulk meñ bachchoñ kī gar sarkār ho
zindagī ik jashn ik tehvār ho
hukm deñ aise calender ke liye
jis meñ do din baad ik itvār ho
sab ko deñ schōl jaisā uniform
ek sī har panT har shalvār ho
hostel ta.amīr ho sab ke liye
koī bhī insāñ na be-ghar-bār ho
rāshtra bhāshā ham ishāroñ ko banā.eñ
dakhkhin uttar meñ na phir takrār ho
ham minister hoñ to vo system bane
jis meñ muflis ho na sāhūkār ho
qaumī daulat ke ḳhazāne hoñ bhare
ḳhud hī le le jis ko jo darkār ho
iid dīvālī sabhī mil kar manā.eñ
aadmī ko aadmī se pyaar ho
mulk meñ bachchoñ kī gar sarkār ho
baDon ka raj to sadiyon se hai zamane mein
kabhi hua nahin duniya mein raj chhoTon ka
agar hamein bhi mile iKHtiyar ai logo
to hum dikhaen tumhein kaam-kaj chhoTon ka
mulk mein bachchon ki gar sarkar ho
zindagi ek jashn ek tehwar ho
hukm den aise calender ke liye
jis mein do din baad ek itwar ho
sab ko den school jaisa uniform
ek si har panT har shalwar ho
hostel tamir ho sab ke liye
koi bhi insan na be-ghar-bar ho
rashtra bhasha hum ishaaron ko banaen
dakhkhin uttar mein na phir takrar ho
hum minister hon to wo system bane
jis mein muflis ho na sahukar ho
qaumi daulat ke KHazane hon bhare
KHud hi le le jis ko jo darkar ho
id diwali sabhi mil kar manaen
aadmi ko aadmi se pyar ho
mulk mein bachchon ki gar sarkar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.