bachpan ka git
chhūtī maiñ is mast pavan ko
kaash maiñ koī panchhī hotī
āsmāñ hotā sā.ebāñ merā
kisī shajar par rahtī hotī
in phūloñ se un kaliyoñ se
apnī bāteñ kahtī hotī
niil gagan meñ par phailā.e
pahroñ bas maiñ uḌtī hotī
mere hote dost nirāle
mor kabūtar tītrī hotī
un ke saath maiñ hañstī boltī
daanā dunkā chugtī hotī
kitnī ḳhush-qismat hai chiḌiyā
kaash maiñ us ke jaisī hotī
chhuti main is mast pawan ko
kash main koi panchhi hoti
aasman hota saeban mera
kisi shajar par rahti hoti
in phulon se un kaliyon se
apni baaten kahti hoti
nil gagan mein par phailae
pahron bas main uDti hoti
mere hote dost nirale
mor kabutar titri hoti
un ke sath main hansti bolti
dana dunka chugti hoti
kitni KHush-qismat hai chiDiya
kash main us ke jaisi hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.