bachpan ke din
haa.e vo bachpan ke din
saaf aur suthre sachche din
yaad bahut aate haiñ ab
apne the jab apne din
fikr-o-taraddud kis ko kahte
duur ġhamoñ se jab the din
āñkh-michaulī aur kabaDDī
gullī DanDe vaale din
rāteñ rāhat se bharpūr
aur sharārat vaale din
pīchhe pīchhe titlī ke
phulvārī meñ biite din
aam amrūd ke peḌoñ par
Daal pe baiThe khāte din
kāġhaz pencil aur kitāb
aisī daulat vaale din
jism ġhubār-ālūda le kar
tālāboñ meñ tairāte din
koī nahīñ thā dushman jab
sab ko dost banāte din
toḌ leñ auroñ ke amrūd
sab ke saath vo khāte din
kaaT leñ khetoñ se ganne
chorī pakḌe jaate din
shaam paḌhā.ī meñ guzre
haa.e vo maktab vaale din
aah 'manāzir' kis se kaheñ
mere vo lauTā de din
hae wo bachpan ke din
saf aur suthre sachche din
yaad bahut aate hain ab
apne the jab apne din
fikr-o-taraddud kis ko kahte
dur ghamon se jab the din
aankh-michauli aur kabaDDi
gulli DanDe wale din
raaten rahat se bharpur
aur shararat wale din
pichhe pichhe titli ke
phulwari mein bite din
aam amrud ke peDon par
Dal pe baiThe khate din
kaghaz pencil aur kitab
aisi daulat wale din
jism ghubar-aluda le kar
talabon mein tairaate din
koi nahin tha dushman jab
sab ko dost banate din
toD len auron ke amrud
sab ke sath wo khate din
kaT len kheton se ganne
chori pakDe jate din
sham paDhai mein guzre
hae wo maktab wale din
aah 'manazir' kis se kahen
mere wo lauTa de din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.