bachpan ke din
ye bachpan ke din
ye bachpan ke din
guloñ kī tarah muskurāne ke din haiñ
diyoñ kī tarah muskurāne ke din haiñ
ye bachpan ke din
ye bachpan ke din
debatoñ meñ in.aam paanā hai ham ko
quiz meñ bhī cup jiit laanā hai ham ko
paḌhā.ī meñ bhī first aane ke din haiñ
hunar sīkhte haiñ adab sīkhte haiñ
zehānat baḌhāne ke Dhab sīkhte haiñ
yahī zindagī ko banāne ke din haiñ
bahut haiñ hameñ ilm hī ke ḳhazāne
jo duniyā kī bāteñ vo duniyā hī jaane
hamāre to paḌhne-paḌhāne ke din haiñ
ye bachpan ke din
ye bachpan ke din
gulon ki tarah muskurane ke din hain
diyon ki tarah muskurane ke din hain
ye bachpan ke din
ye bachpan ke din
debaton mein inam pana hai hum ko
quiz mein bhi cup jit lana hai hum ko
paDhai mein bhi first aane ke din hain
hunar sikhte hain adab sikhte hain
zehanat baDhane ke Dhab sikhte hain
yahi zindagi ko banane ke din hain
bahut hain hamein ilm hi ke KHazane
jo duniya ki baaten wo duniya hi jaane
hamare to paDhne-paDhane ke din hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.