bachpan
na.ī na.ī duniyā lagtī thī na.e na.e se log
khiltī kaliyāñ sub.h savere kaise maddham maddham
hairat hotī phuul pe kaise jam jaatī hai shabnam
chiḌiyoñ kī āvāz sunātī ghuñgrū jaisī chham-chham
bārish kī būñdeñ girtīñ peḌoñ pe rim-jhim rim-jhim
bargad kī dāḌhī ko pakḌe bachche peñg baḌhāte
kavve mainā koyal chiḌiyāñ mil kar shor machāte
maañ ke hāthoñ kī ik ḳhushbū bastī thī roTī meñ
binā shakkar lagtā thā mīThā ThanDā ThanDā paanī
thā kitnā ma.asūm sā bachpan baat na ham ne jaanī
vo panchhī mīThī āvāzeñ nuur sī ujlī bhor
phisal ga.ī kyoñ haath se apne vo sapnoñ kī Dor
nai nai duniya lagti thi nae nae se log
khilti kaliyan subh sawere kaise maddham maddham
hairat hoti phul pe kaise jam jati hai shabnam
chiDiyon ki aawaz sunati ghungru jaisi chham-chham
barish ki bunden girtin peDon pe rim-jhim rim-jhim
bargad ki daDhi ko pakDe bachche peng baDhate
kawwe maina koyal chiDiyan mil kar shor machate
man ke hathon ki ek KHushbu basti thi roTi mein
bina shakkar lagta tha miTha ThanDa ThanDa pani
tha kitna masum sa bachpan baat na hum ne jaani
wo panchhi miThi aawazen nur si ujli bhor
phisal gai kyon hath se apne wo sapnon ki Dor
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.