bachpan
pyārā pyārā bholā bachpan
khelā jo maañ baap ke āñgan
pyārī bholī bāteñ is kī
sapnoñ vaalī rāteñ is kī
paanī ko kahtā hai maanī
dauḌ ke laa.e us kī naanī
roTī māñge aaTī kah kar
dostī toḌe kaTTī kah kar
zid par apnī jab aa jaa.e
apnī sī kar ke vo dikhā.e
pyāre pyāre is ke khilaune
khele guDDū aur salone
sab pe hukūmat is kī rahtī
koī baat na is kī Taltī
girtā paḌtā aur sañbhaltā
rotā-dhotā aur machaltā
pyara pyara bhola bachpan
khela jo man bap ke aangan
pyari bholi baaten is ki
sapnon wali raaten is ki
pani ko kahta hai mani
dauD ke lae us ki nani
roTi mange aaTi kah kar
dosti toDe kaTTi kah kar
zid par apni jab aa jae
apni si kar ke wo dikhae
pyare pyare is ke khilaune
khele guDDu aur salone
sab pe hukumat is ki rahti
koi baat na is ki Talti
girta paDta aur sanbhalta
rota-dhota aur machalta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.