Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parinde ki fariyaad

Allama Iqbal

parinde ki fariyaad

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    dedicated to children

    aatā hai yaad mujh ko guzrā huā zamāna

    vo baaġh bahāreñ vo sab chahchahānā

    āzādiyāñ kahāñ vo ab apne ghoñsle

    apnī ḳhushī se aanā apnī ḳhushī se jaanā

    lagtī hai choT dil par aatā hai yaad jis dam

    shabnam ke āñ.suoñ par kaliyoñ muskurānā

    vo pyārī pyārī sūrat vo kāmanī mūrat

    ābād jis ke dam se thā merā āshiyānā

    aatī nahīñ sadā.eñ us mire qafas meñ

    hotī mirī rihā.ī ai kaash mere bas meñ

    kyā bad-nasīb huuñ maiñ ghar ko taras rahā huuñ

    sāthī to haiñ vatan meñ maiñ qaid meñ paḌā huuñ

    aa.ī bahār kaliyāñ phūloñ hans rahī haiñ

    maiñ is añdhere ghar meñ qismat ko ro rahā huuñ

    is qaid ilāhī dukhḌā kise sunā.ūñ

    Dar hai yahīñ qafas meñ maiñ ġham se mar na jā.ūñ

    jab se chaman chhuTā hai ye haal ho gayā hai

    dil ġham ko khā rahā hai ġham dil ko khā rahā hai

    gaanā ise samajh kar ḳhush hoñ na sunñe vaale

    dukhte hue diloñ fariyād ye sadā hai

    āzād mujh ko kar de o qaid karne vaale

    maiñ be-zabāñ huuñ qaidī chhoḌ kar duā le!

    aata hai yaad mujh ko guzra hua zamana

    wo bagh ki bahaaren wo sab ka chahchahana

    aazadiyan kahan wo ab apne ghonsle ki

    apni KHushi se aana apni KHushi se jaana

    lagti hai choT dil par aata hai yaad jis dam

    shabnam ke aansuon par kaliyon ka muskurana

    wo pyari pyari surat wo kaamani si murat

    aabaad jis ke dam se tha mera aashiyana

    aati nahin sadaen us ki mere qafas mein

    hoti meri rihai ai kash mere bas mein

    kya bad-nasib hun main ghar ko taras raha hun

    sathi to hain watan mein main qaid mein paDa hun

    aai bahaar kaliyan phulon ki hans rahi hain

    main is andhere ghar mein qismat ko ro raha hun

    is qaid ka ilahi dukhDa kise sunaun

    Dar hai yahin qafas mein main gham se mar na jaun

    jab se chaman chhuTa hai ye haal ho gaya hai

    dil gham ko kha raha hai gham dil ko kha raha hai

    gana ise samajh kar KHush hon na sunne wale

    dukhte hue dilon ki fariyaad ye sada hai

    aazad mujh ko kar de o qaid karne wale

    main be-zaban hun qaidi tu chhoD kar dua le!

    RECITATIONS

    Hamida Chopra

    Hamida Chopra,

    Hamida Chopra

    parinde kii fariyaad Hamida Chopra

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Iqbaal (Pg. 37)
    • Author : Allama Iqbaal
    • Edition : 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now