sal-girah ka tohfa
merī bārahveñ sāl-girah par
sab ne navāzā tohfe de kar
abbā ik cycle le aa.e
ammī ne laDDū banvā.e
diidī ne kapḌe silvā.e
bhayyā geñd aur ballā laa.e
har ik kuchh na kuchh laayā thā
ik tohfa thā master jī kā
master jī laa.e the khilaunā
sab se alag sab se nirālā
ik qatār meñ tiin the bandar
kyā ḳhūbī thī un ke andar
ik thā haath se āñkheñ mūñde
dūsrā muñh par haath thā rakkhe
aur jo tīsrā bandar dekhā
haath jo thā kānoñ par rakkhā
master jī se pūchhā maiñ ne
kaisā khilaunā hai kyā jaane
kahne lage lo ġhaur se sun lo
pahle sun lo phir muñh kholo
ik kahtā hai burā na dekho
dūsrā bole burā na bolo
aur tīsre kā ye hai kahnā
burā kisī se kabhī na sunñā
kyuuñ bha.ī kaisā hai ye tohfa
hai ki nahīñ ye sab kī pasand kā
master jī kī bāteñ sun kar
milī nasīhat sāl-girah par
ḳhush the mere ammī abbā
tohfa dekh ke master jī kā
meri barahwen sal-girah par
sab ne nawaza tohfe de kar
abba ek cycle le aae
ammi ne laDDu banwae
didi ne kapDe silwae
bhayya gend aur balla lae
har ek kuchh na kuchh laya tha
ek tohfa tha master ji ka
master ji lae the khilauna
sab se alag sab se nirala
ek qatar mein tin the bandar
kya KHubi thi un ke andar
ek tha hath se aankhen munde
dusra munh par hath tha rakkhe
aur jo tisra bandar dekha
hath jo tha kanon par rakkha
master ji se puchha main ne
kaisa khilauna hai kya jaane
kahne lage lo ghaur se sun lo
pahle sun lo phir munh kholo
ek kahta hai bura na dekho
dusra bole bura na bolo
aur tisre ka ye hai kahna
bura kisi se kabhi na sunna
kyun bhai kaisa hai ye tohfa
hai ki nahin ye sab ki pasand ka
master ji ki baaten sun kar
mili nasihat sal-girah par
KHush the mere ammi abba
tohfa dekh ke master ji ka
- Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 140)
- Author : Ameen Hazin
- Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.