Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

urdu

Ata Abidi

urdu

Ata Abidi

MORE BYAta Abidi

    apnī tahzīb hai aur apnī zabāñ hai urdu

    apne ghar meñ magar afsos kahāñ hai urdu

    ahl-e-ulfat ke liye husn-e-ravāñ hai urdu

    ahl-e-dil ke liye dilkash hai javāñ hai urdu

    aaj bhī 'ġhālib' o 'iqbāl' paḌhe jaate haiñ

    aaj bhī kal tarah jādū-bayāñ hai urdu

    aaj bhī 'prem' ke aur 'krishn' ke afsāne haiñ

    aaj bhī vaqt jamhūrī zabāñ hai urdu

    aaj bhī mulk azmat ke haiñ naġhme is meñ

    aaj bhī qaum hurmat bayāñ hai urdu

    aaj bhī bazm raunaq hai 'atā' is ke sabab

    mahfil-e-sher is vaqt bhī jaañ hai urdu

    apni tahzib hai aur apni zaban hai urdu

    apne ghar mein magar afsos kahan hai urdu

    ahl-e-ulfat ke liye husn-e-rawan hai urdu

    ahl-e-dil ke liye dilkash hai jawan hai urdu

    aaj bhi 'ghaalib' o 'iqbaal' paDhe jate hain

    aaj bhi kal ki tarah jadu-bayan hai urdu

    aaj bhi 'prem' ke aur 'krishn' ke afsane hain

    aaj bhi waqt ki jamhuri zaban hai urdu

    aaj bhi mulk ki azmat ke hain naghme is mein

    aaj bhi qaum ki hurmat ka bayan hai urdu

    aaj bhi bazm ki raunaq hai 'ata' is ke sabab

    mahfil-e-sher ki is waqt bhi jaan hai urdu

    Source:

    Khushboo Khushboo Nazmen Apni (Pg. 37)

    • Author: Ata Abidi
      • Edition: 2012
      • Publisher: Book Emporium,Urdu Bazar Sabzi Bagh, Patna
      • Year of Publication: 2012

    related content

    Nazm

    chahaton ka jahan hai urdu

    chahaton ka jahan hai urdu

    Krishna Mohan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now