bachpan
vo galiyoñ meñ bārish vo gulnār chehre
tamannāoñ ke vo bhañvar gahre gahre
bharī dhuup meñ vo patañgeñ pakaḌnā
''vo bātoñ hī bātoñ meñ laḌnā jhagaḌnā''
koī kaash mujh par ye ehsān kar de
kī bachpan ke kuchh pal mere naam kar de
maiñ ab us purāne mohalle meñ jā kar
ḳhudā se ye fariyād karne lagā huuñ
maiñ bachpan tujhe yaad karne lagā huuñ
vo āñgan meñ lahrāte sāvan ke jhūle
rahe yaad har dam kabhī ham na bhūle
vo guDDe vo guḌiyā vo pyāre khilaune
vo nannhī sī āñkhoñ ke sapne salone
na aage kī chintā na pīchhe ke ġham the
na thī fikr koī na rañj-o-alam the
palaT kar suhāne paloñ ke safoñ ko
maiñ dil ko phir ābād karne lagā huuñ
maiñ bachpan tujhe yaad karne lagā huuñ
kabhī nañge pairoñ se galiyoñ meñ jaanā
vo bārish ke paanī meñ kashtī chalānā
vo ḳhvāboñ ḳhayāloñ meñ pariyoñ kī bāteñ
vo holī ke din vo divālī kī rāteñ
vo jab saath duniyā ke bandhan nahiñ the
vo pal ḳhūb-sūrat the vo din hasīñ the
vo lamhe vo yādeñ sajā kar ke yaaro
ye nāshād dil shaad karne lagā huuñ
maiñ bachpan tujhe yaad karne lagā huuñ
wo galiyon mein barish wo gulnar chehre
tamannaon ke wo bhanwar gahre gahre
bhari dhup mein wo patangen pakaDna
wo baaton hi baaton mein laDna jhagaDna
koi kash mujh par ye ehsan kar de
ki bachpan ke kuchh pal mere nam kar de
main ab us purane mohalle mein ja kar
KHuda se ye fariyaad karne laga hun
main bachpan tujhe yaad karne laga hun
wo aangan mein lahraate sawan ke jhule
rahe yaad har dam kabhi hum na bhule
wo guDDe wo guDiya wo pyare khilaune
wo nannhi si aankhon ke sapne salone
na aage ki chinta na pichhe ke gham the
na thi fikr koi na ranj-o-alam the
palaT kar suhane palon ke safon ko
main dil ko phir aabaad karne laga hun
main bachpan tujhe yaad karne laga hun
kabhi nange pairon se galiyon mein jaana
wo barish ke pani mein kashti chalana
wo KHwabon KHayalon mein pariyon ki baaten
wo holi ke din wo diwali ki raaten
wo jab sath duniya ke bandhan nahin the
wo pal KHub-surat the wo din hasin the
wo lamhe wo yaaden saja kar ke yaro
ye nashad dil shad karne laga hun
main bachpan tujhe yaad karne laga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.