bad-shuguni
ajab ghaḌī thī
kitāb kīchaḌ meñ gir paḌī thī
chamakte lafzoñ kī mailī āñkhoñ meñ uljhe aañsū bulā rahe the
magar mujhe hosh hī kahāñ thā
nazar meñ ik aur hī jahāñ thā
na.e na.e manzaroñ kī ḳhvāhish meñ apne manzar se kaT gayā huuñ
na.e na.e dā.eroñ kī gardish meñ apne mehvar se haT gayā huuñ
sila jazā ḳhauf nā-umīdī
umiid imkān be-yaqīnī
hazār ḳhānoñ meñ baT gayā huuñ
ab is se pahle ki raat apnī kamand Daale ye chāhtā huuñ ki lauT jā.ūñ
ajab nahīñ vo kitāb ab bhī vahīñ paḌī ho
ajab nahīñ aaj bhī mirī raah dekhtī ho
chamakte lafzoñ kī mailī āñkhoñ meñ uljhe aañsū
ajab nahīñ mere lafz mujh ko muaaf kar deñ
havā-o-hirs-o-havas kī sab gard saaf kar deñ
ajab ghaḌī thī
kitāb kīchaḌ meñ gir paḌī thī
A BAD OMEN
ajab ghaDi thi
kitab kichaD mein gir paDi thi
chamakte lafzon ki maili aankhon mein uljhe aansu bula rahe the
magar mujhe hosh hi kahan tha
nazar mein ek aur hi jahan tha
nae nae manzaron ki KHwahish mein apne manzar se kaT gaya hun
nae nae daeron ki gardish mein apne mehwar se haT gaya hun
sila jaza KHauf na-umidi
umid imkan be-yaqini
hazar KHanon mein baT gaya hun
ab is se pahle ki raat apni kamand Dale ye chahta hun ki lauT jaun
ajab nahin wo kitab ab bhi wahin paDi ho
ajab nahin aaj bhi meri rah dekhti ho
chamakte lafzon ki maili aankhon mein uljhe aansu
ajab nahin mere lafz mujh ko muaf kar den
hawa-o-hirs-o-hawas ki sab gard saf kar den
ajab ghaDi thi
kitab kichaD mein gir paDi thi
A BAD OMEN
- Book : Harf-e-Baaryab (Pg. 27)
- Author : IftiKHar Arif
- Publication : Educational Publishing House New Dehli (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.