baDa pur-haul rasta tha
baḌā pur-haul rasta thā
badan ke jauhar-e-ḳhufta meñ koī quvvat-e-lāhūt mudġham thī
kisī ġhuul bayābānī kī gardish mere dast-o-pā kī mahram thī
dahān-e-jāñ se ḳhārij hone vaalī bhaap meñ the sālimāt-e-dard raushan
guzargāhoñ ke sab nā-mo'tabar patthar
ḳhalā meñ uḌne vaalī past miTTī ke siyah zarre
pahāḌ aur aa.ine saa.e kure peḌoñ ke patte
pāniyoñ kī gol lahreñ
raat kī lā-ilm chīzeñ
shash-jihat ke sab anāsir zor se pīchhe haTe the
aur maiñ aage hazāroñ kos aage baḌh gayā thā
ik ajab raftār merī aag meñ thī
kis qadar pur-haul rasta thā
paḌāv ke liye kitne jazīre darmiyāñ aa.e
zamīñ muḌ muḌ ke aa.ī aur ik ik kar ke sātoñ āsmāñ aa.e
musalsal chal rahā thā maiñ
havā meñ Dhal rahā thā maiñ
masāmoñ se shuā-e-be-nihāyat phūTī paḌtī thī
abad kā ik jaḌāv taaj mere sar pe rakhā thā
baḌā pur-haul rasta thā
koī barq-e-shabāhat ārzū-bardār merī aag meñ thī
ik ajab raftār merī aag meñ thī
baDa pur-haul rasta tha
badan ke jauhar-e-KHufta mein koi quwwat-e-lahut mudgham thi
kisi ghul bayabani ki gardish mere dast-o-pa ki mahram thi
dahan-e-jaan se KHarij hone wali bhap mein the salimat-e-dard raushan
guzargahon ke sab na-mo'tabar patthar
KHala mein uDne wali past miTTi ke siyah zarre
pahaD aur aaine sae kure peDon ke patte
paniyon ki gol lahren
raat ki la-ilm chizen
shash-jihat ke sab anasir zor se pichhe haTe the
aur main aage hazaron kos aage baDh gaya tha
ek ajab raftar meri aag mein thi
kis qadar pur-haul rasta tha
paDaw ke liye kitne jazire darmiyan aae
zamin muD muD ke aai aur ek ek kar ke saton aasman aae
musalsal chal raha tha main
hawa mein Dhal raha tha main
masamon se shua-e-be-nihayat phuTi paDti thi
abad ka ek jaDaw taj mere sar pe rakha tha
baDa pur-haul rasta tha
koi barq-e-shabahat aarzu-bardar meri aag mein thi
ek ajab raftar meri aag mein thi
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 121)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997)
- Edition : Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.