badalne ka koi mausam nahin hota
chale the log jab ghar se
to ik va.ade kī taḳhtī apnī peshānī par
rakh kar laa.e the
jis kī gavāhī meñ
safar ko aage baḌhnā thā
aur us ke saath
ḳhvāboñ ḳhvāhishoñ ke naam
us vīrān ghar ko aage baḌhnā thā
to ik va.ade kī taḳhtī thī
bahut din tak jo raushan thī sarāboñ meñ
purānī dāstāneñ jāgtī taaza nisāboñ meñ
bahut din tak havā meñ sandalī ḳhushbū mahaktī thī
safar meñ chāñdnī ghar kī chhiTaktī thī
chale the log jab ghar se
bahut mānūs the
har gum-shuda vīrān manzar se
chale the log jab ghar se
purānī baat lagtī hai
bahut sī kaḌiyāñ jaise biich se
ab TūTtī jaatī haiñ
ruteñ guzrīñ huī ab haath se
yuuñ chhūTtī jaatī haiñ
jaise āyateñ bujhne lagī hoñ
sail-e-zulmat meñ
vo ik va.ade kī taḳhtī gum huī
tūfān-e-hairat meñ
badalne kā koī mausam nahīñ hotā
bahut din jab badalne meñ guzar jaate haiñ
kuchh badle hue kā ġham nahīñ hotā
chale the log jab ghar se
to ek wade ki taKHti apni peshani par
rakh kar lae the
jis ki gawahi mein
safar ko aage baDhna tha
aur us ke sath
KHwabon KHwahishon ke nam
us viran ghar ko aage baDhna tha
to ek wade ki taKHti thi
bahut din tak jo raushan thi sarabon mein
purani dastanen jagti taza nisabon mein
bahut din tak hawa mein sandali KHushbu mahakti thi
safar mein chandni ghar ki chhiTakti thi
chale the log jab ghar se
bahut manus the
har gum-shuda viran manzar se
chale the log jab ghar se
purani baat lagti hai
bahut si kaDiyan jaise bich se
ab TuTti jati hain
ruten guzrin hui ab hath se
yun chhuTti jati hain
jaise aayaten bujhne lagi hon
sail-e-zulmat mein
wo ek wade ki taKHti gum hui
tufan-e-hairat mein
badalne ka koi mausam nahin hota
bahut din jab badalne mein guzar jate hain
kuchh badle hue ka gham nahin hota
- Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.