baDe naz se aaj ubhra hai suraj
Interesting Fact
15/august 1947
baḌe naaz se aaj ubhrā hai sūraj
himāla ke ūñche kalas jagmagā.e
pahāḌoñ ke chashmoñ ko sonā banāyā
na.e bil na.e zor in ko sikhā.e
libās-e-zarī ābshāroñ ne paayā
nashebī zamīnoñ pe chhīñTe uḌaa.e
ghane ūñche ūñche daraḳhtoñ kā manzar
ye haiñ aaj sab āb-e-zar meñ nahā.e
magar in daraḳhtoñ ke saa.e meñ ai dil
hazāroñ baras ke ye ThiThure se paude
hazāroñ baras ke ye simTe se paude
ye haiñ aaj bhī sard behāl be-dam
ye haiñ aaj bhī apne sar ko jhukā.e
are o na.ī shaan ke mere sūraj
tirī aab meñ aur bhī taab aa.e
tire paas aisī bhī koī kiran hai
jo aise daraḳhtoñ meñ bhī raah paa.e
jo Thahre huoñ ko jo simTe huoñ ko
harārat bhī baḳhshe gale bhī lagā.e
baḌe naaz se aaj ubhrā hai sūraj
himāla ke ūñche kalas jagmagā.e
fazāoñ meñ hone lagī bārish-e-zar
koī nāznīñ jaise afshāñ chhuḌā.e
damakne lage yuuñ ḳhalāoñ ke zarre
ki tāroñ kī duniyā ko bhī rashk aa.e
hamāre uqāboñ ne añgḌā.iyāñ liiñ
sunahrī havāoñ meñ par phaḌphaḌā.e
fuzūñ-tar huā nashsha-e-kāmrānī
tajassus kī āñkhoñ meñ Dore se aa.e
qadam chūmne barq-o-bād āb-o-ātish
ba-sad-shauq dauḌe ba-sad-ijz aa.e
magar barq o ātish ke saa.e meñ ai dil
ye sadiyoñ ke ḳhud-rafta nāshād taa.ir
ye sadiyoñ ke par-basta barbād taa.ir
ye haiñ aaj bhī muzmahil dil-girafta
ye haiñ aaj bhī apne sar ko chhupā.e
are o na.ī shaan ke mere sūraj
tirī aab meñ aur bhī taab aa.e
tire paas aisī bhī koī kiran hai
unheñ panja-e-tez se jo bachā.e
inheñ jo na.e bāl-o-par aa ke baḳhshe
inheñ jo na.e sir se uḌnā sikhā.e
baDe naz se aaj ubhra hai suraj
himala ke unche kalas jagmagae
pahaDon ke chashmon ko sona banaya
nae bil nae zor in ko sikhae
libas-e-zari aabshaaron ne paya
nashebi zaminon pe chhinTe uDae
ghane unche unche daraKHton ka manzar
ye hain aaj sab aab-e-zar mein nahae
magar in daraKHton ke sae mein ai dil
hazaron baras ke ye ThiThure se paude
hazaron baras ke ye simTe se paude
ye hain aaj bhi sard behaal be-dam
ye hain aaj bhi apne sar ko jhukae
are o nai shan ke mere suraj
teri aab mein aur bhi tab aae
tere pas aisi bhi koi kiran hai
jo aise daraKHton mein bhi rah pae
jo Thahre huon ko jo simTe huon ko
hararat bhi baKHshe gale bhi lagae
baDe naz se aaj ubhra hai suraj
himala ke unche kalas jagmagae
fazaon mein hone lagi barish-e-zar
koi naznin jaise afshan chhuDae
damakne lage yun KHalaon ke zarre
ki taron ki duniya ko bhi rashk aae
hamare uqabon ne angDaiyan lin
sunahri hawaon mein par phaDphaDae
fuzun-tar hua nashsha-e-kaamrani
tajassus ki aankhon mein Dore se aae
qadam chumne barq-o-baad aab-o-atish
ba-sad-shauq dauDe ba-sad-ijz aae
magar barq o aatish ke sae mein ai dil
ye sadiyon ke KHud-rafta nashad tair
ye sadiyon ke par-basta barbaad tair
ye hain aaj bhi muzmahil dil-girafta
ye hain aaj bhi apne sar ko chhupae
are o nai shan ke mere suraj
teri aab mein aur bhi tab aae
tere pas aisi bhi koi kiran hai
unhen panja-e-tez se jo bachae
inhen jo nae baal-o-par aa ke baKHshe
inhen jo nae sir se uDna sikhae
- Book : Kulliyat-e-Jazbi (Pg. 126)
- Author : Moeen Ahsan Jazbi
- Publication : Fareed Book Depot (p) Ltd (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.