Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDhe chalo

MORE BYMohammad Mustafa Khan Maddah

    uTho uTho uTho uTho

    kamar kaso kamar kaso

    sahar se pahle chal paḌo

    kaḌī hai raah dosto

    thakan naam bhī na lo

    baḌhe chalo baḌhe chalo

    jhijak na dil meñ laao tum

    bas ab qadam uThāo tum

    zarā na Dagmagāo tum

    ḳhudā se lau lagāo tum

    malūl-o-muztarib na ho

    baḌhe chalo baḌhe chalo

    uThā diyā qadam agar

    to ḳhatm hai bas ab safar

    hai raah sāf-o-be-ḳhatar

    na koī ḳhauf hai na Dar

    chale chalo baḌhe chalo

    baḌhe chalo baḌhe chalo

    tumhāre ham-safar jo the

    vo manziloñ pe lage

    sab aage tum se baḌh ga.e

    magar ho tum paḌe hue

    zarā samajh se kaam lo

    baḌhe chalo baḌhe chalo

    diloñ meñ jo ho valvala

    to Daal doge zalzala

    rahe buland hausla

    vo sāmne hai marhala

    vahīñ pahuñch ke saañs lo

    baḌhe chalo baḌhe chalo

    uTho uTho uTho uTho

    kamar kaso kamar kaso

    sahar se pahle chal paDo

    kaDi hai rah dosto

    thakan ka nam bhi na lo

    baDhe chalo baDhe chalo

    jhijak na dil mein lao tum

    bas ab qadam uThao tum

    zara na Dagmagao tum

    KHuda se lau lagao tum

    malul-o-muztarib na ho

    baDhe chalo baDhe chalo

    uTha diya qadam agar

    to KHatm hai bas ab safar

    hai rah saf-o-be-KHatar

    na koi KHauf hai na Dar

    chale chalo baDhe chalo

    baDhe chalo baDhe chalo

    tumhaare ham-safar jo the

    wo manzilon pe ja lage

    sab aage tum se baDh gae

    magar ho tum paDe hue

    zara samajh se kaam lo

    baDhe chalo baDhe chalo

    dilon mein jo ho walwala

    to Dal doge zalzala

    rahe buland hausla

    wo samne hai marhala

    wahin pahunch ke sans lo

    baDhe chalo baDhe chalo

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now