baDi mushkilon se
baḌī mushkiloñ se
dard-e-zeh meñ mubtalā chup ne
ek āvāz ko janam diyā
maiñ ne use god le liyā
pāl-pos kar baḌā kiyā
aur us kī zabān par
ek lafz rakhā
magar vo gūñgī niklī
maiñ ne māyūsī meñ
use qatl kar diyā
aur pakḌā gayā
laash Thikāne lagāte vaqt
mujh par muqaddama chalā
qatl ke ilzām meñ
magar mujhe phāñsī kī sazā huī
ek lafz
kisī zabān par rakhne ke jurm meñ
baDi mushkilon se
dard-e-zeh mein mubtala chup ne
ek aawaz ko janam diya
main ne use god le liya
pal-pos kar baDa kiya
aur us ki zaban par
ek lafz rakha
magar wo gungi nikli
main ne mayusi mein
use qatl kar diya
aur pakDa gaya
lash Thikane lagate waqt
mujh par muqaddama chala
qatl ke ilzam mein
magar mujhe phansi ki saza hui
ek lafz
kisi zaban par rakhne ke jurm mein
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 445)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.