badli ka chand
ḳhurshīd vo dekho Duub gayā zulmat kā nishāñ lahrāne lagā
mahtāb vo halke bādal se chāñdī ke varaq barsāne lagā
vo sāñvle-pan par maidāñ ke halkī sī sabāhat dauḌ chalī
thoḌā sā ubhar kar bādal se vo chāñd jabīñ jhalkāne lagā
lo phir vo ghaTā.eñ chaak huiiñ zulmat kā qadam tharrāne lagā
bādal meñ chhupā to khol diye bādal meñ darīche hiire ke
gardūñ pe jo aayā to gardūñ dariyā kī tarah lahrāne lagā
simTī jo ghaTā tārīkī meñ chāñdī ke safīne le ke chalā
sankī jo havā to bādal ke girdāb meñ ġhote khāne lagā
ġhurfoñ se jo jhāñkā gardūñ ke amvāj kī nabzeñ tez huiiñ
halqoñ meñ jo dauḌā bādal ke kohsār kā sar chakrāne lagā
parda jo uThāyā bādal kā dariyā pe tabassum dauḌ gayā
chilman jo girā.ī badlī kī maidān kā dil ghabrāne lagā
ubhrā to tajallī dauḌ ga.ī Duubā to falak be-nūr huā
uljhā to siyāhī dauḌā dī suljhā to ziyā barsāne lage
kyā kāvish-e-nūr-o-zulmat hai kyā qaid hai kyā āzādī hai
insāñ kī taḌaptī fitrat kā mafhūm samajh meñ aane lagā
KHurshid wo dekho Dub gaya zulmat ka nishan lahrane laga
mahtab wo halke baadal se chandi ke waraq barsane laga
wo sanwle-pan par maidan ke halki si sabahat dauD chali
thoDa sa ubhar kar baadal se wo chand jabin jhalkane laga
lo phir wo ghaTaen chaak huin zulmat ka qadam tharrane laga
baadal mein chhupa to khol diye baadal mein dariche hire ke
gardun pe jo aaya to gardun dariya ki tarah lahrane laga
simTi jo ghaTa tariki mein chandi ke safine le ke chala
sanki jo hawa to baadal ke girdab mein ghote khane laga
ghurfon se jo jhanka gardun ke amwaj ki nabzen tez huin
halqon mein jo dauDa baadal ke kohsar ka sar chakrane laga
parda jo uThaya baadal ka dariya pe tabassum dauD gaya
chilman jo girai badli ki maidan ka dil ghabrane laga
ubhra to tajalli dauD gai Duba to falak be-nur hua
uljha to siyahi dauDa di suljha to ziya barsane lage
kya kawish-e-nur-o-zulmat hai kya qaid hai kya aazadi hai
insan ki taDapti fitrat ka mafhum samajh mein aane laga
- Book : Azadi Ke Bad Urdu Nazam (Pg. 13)
- Author : Shamim Hanfi and Mazhar Mahdi
- Publication : qaumi council baraye-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.