baghawat
baḌā āsān hai mere liye
maiñ āzādī ke giit gā.ūñ
aur saḌkoñ par jalse sajā
inqalāb ke na.are lagā.ūñ
baḌā āsān hai mere liye
maiñ kisī par zulm hotā pā.ūñ
to āñkhoñ vaalā andhā ho jā.ūñ
baḌā āsān hai mere liye
siyāsatdānoñ par jhallā.ūñ
aur kuchh karne ke naam par
apnī majbūriyāñ ginā.ūñ
baḌā āsān hai mere liye
ki maiñ zinda laash ho jā.ūñ
ḳhud Darūñ aur parivār ko Darā.ūñ
par mere bhītar jo hai ek ruuh sī
jab pūchhtī hai mujh se kahāñ jā.ūñ
zinda laash honā bhī āsān nahīñ
maiñ ise kaise samjhā.ūñ
baDa aasan hai mere liye
main aazadi ke git gaun
aur saDkon par jalse saja
inqalab ke nare lagaun
baDa aasan hai mere liye
main kisi par zulm hota paun
to aankhon wala andha ho jaun
baDa aasan hai mere liye
siyasatdanon par jhallaun
aur kuchh karne ke nam par
apni majburiyan ginaun
baDa aasan hai mere liye
ki main zinda lash ho jaun
KHud Darun aur pariwar ko Daraun
par mere bhitar jo hai ek ruh si
jab puchhti hai mujh se kahan jaun
zinda lash hona bhi aasan nahin
main ise kaise samjhaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.