zindagī mahbūb hai phir bhī duā.eñ maut kī
māñgtā hai dil mirā din raat kyuuñ
qismat-e-ġham-gīñ ke hoñToñ par kabhī
aa nahīñ saktī ḳhushī kī baat kyuuñ
kyuuñ nigāhoñ par mirī chhā.e haiñ aañsū ke naqāb
is savāl-e-mustaqil kā kyuuñ nahīñ miltā javāb
kyā ḳhudī kī uljhaneñ mere irāde toḌ kar
kar rahī haiñ mujh ko is duniyā meñ nākām-e-hayāt
kyuuñ nahīñ aatī vo raat
jis kī ḳhurram-tar sahar
aarzū hai mujh se ho ab ham-kalām
rāhateñ mādūm haiñ mere taḳhayyul se tamām
rāsta mujh ko nazar aatā nahīñ
rāsta mujh ko ḳhushī kā kyuuñ nazar aatā nahīñ
chal mire dil aaj is mahdūd ḳhalvat se nikal
haañ sambhal qa.ar-e-ḳhamoshī meñ na gir haañ ab sambhal
be-ḳhudī maslak banā le bhuul jā sab aaj kal
chhoḌ de markaz kī chāhat muztarib ho aur machal
sīna-e-ātash-fishāñ kī tarah garmī se ubal
chal mire dil rāsta ḳhushiyoñ kā dekh
aur shola aish ke lamhoñ kā dekh
dil-girafta āñsuoñ ko ḳhushk kar
dekh rasta āñsuoñ ko ḳhushk kar
chhoḌ de markaz kī chāhat muztarib ho aur machal
chal mire dil aaj is mahdūd ḳhalvat se nikal
zindagi mahbub hai phir bhi duaen maut ki
mangta hai dil mera din raat kyun
qismat-e-gham-gin ke honTon par kabhi
aa nahin sakti KHushi ki baat kyun
kyun nigahon par meri chhae hain aansu ke naqab
is sawal-e-mustaqil ka kyun nahin milta jawab
kya KHudi ki uljhanen mere irade toD kar
kar rahi hain mujh ko is duniya mein nakaam-e-hayat
kyun nahin aati wo raat
jis ki KHurram-tar sahar
aarzu hai mujh se ho ab ham-kalam
rahaten madum hain mere taKHayyul se tamam
rasta mujh ko nazar aata nahin
rasta mujh ko KHushi ka kyun nazar aata nahin
chal mere dil aaj is mahdud KHalwat se nikal
han sambhal qar-e-KHamoshi mein na gir han ab sambhal
be-KHudi maslak bana le bhul ja sab aaj kal
chhoD de markaz ki chahat muztarib ho aur machal
sina-e-atash-fishan ki tarah garmi se ubal
chal mere dil rasta KHushiyon ka dekh
aur shola aish ke lamhon ka dekh
dil-girafta aansuon ko KHushk kar
dekh rasta aansuon ko KHushk kar
chhoD de markaz ki chahat muztarib ho aur machal
chal mere dil aaj is mahdud KHalwat se nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.