baghair unwan ke
din aayā na malbūs badal ke na nikhar ke
aur log bhī nikle na shagufta na chamakdār
tab maiñ ne sochā mire kāġhaz ke ġhubbāre na nācheñ to behtar hai
ik umr kā sadma hai bahut talḳh zamīñ ko
na sālgirah aaj manā.ūñ maiñ to behtar
vo bhī nahīñ ḳhush aur na ḳhush din kā guzar hai
ai umr tirā saḳht akele kā safar hai
tab maiñ ne kahā chāñd agar apne badan ko
aurat kā badan de to maiñ kāñToñ ke tarāzū
dil de ke badal luuñ
dil de ke badal luuñ maiñ qayāmat bhī gahan bhī
aur un ke evaz us se kahūñ aaj ke din to
ruk merī zamīñ par
taqdīr havā ban ke daraḳhtoñ meñ khaḌī hai
aur maiñ ai ajab chiiz chaTānoñ pe girā huuñ
din aaya na malbus badal ke na nikhar ke
aur log bhi nikle na shagufta na chamakdar
tab main ne socha mere kaghaz ke ghubbare na nachen to behtar hai
ek umr ka sadma hai bahut talKH zamin ko
na salgirah aaj manaun main to behtar
wo bhi nahin KHush aur na KHush din ka guzar hai
ai umr tera saKHt akele ka safar hai
tab main ne kaha chand agar apne badan ko
aurat ka badan de to main kanTon ke taraazu
dil de ke badal lun
dil de ke badal lun main qayamat bhi gahan bhi
aur un ke ewaz us se kahun aaj ke din to
ruk meri zamin par
taqdir hawa ban ke daraKHton mein khaDi hai
aur main ai ajab chiz chaTanon pe gira hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.