bagiya lahuluhan
hariyālī ko āñkheñ tarseñ bagiyā lahūluhān
pyaar ke giit sunā.ūñ kis ko shahr hue vīrān
bagiyā lahūluhān
Dastī haiñ sūraj kī kirneñ chāñd jalā.e jaan
pag pag maut ke gahre saa.e jīvan maut samān
chāroñ or havā phirtī hai le ke tiir kamān
bagiyā lahūluhān
chhalnī haiñ kaliyoñ ke siine ḳhuun meñ lat-pat paat
aur na jaane kab tak hogī ashkoñ kī barsāt
duniyā vaalo kab bīteñge dukh ke ye din-rāt
ḳhuun se holī khel rahe haiñ dhartī ke balvān
bagiyā lahūluhān
hariyali ko aankhen tarsen bagiya lahuluhan
pyar ke git sunaun kis ko shahr hue viran
bagiya lahuluhan
Dasti hain suraj ki kirnen chand jalae jaan
pag pag maut ke gahre sae jiwan maut saman
chaaron or hawa phirti hai le ke tir kaman
bagiya lahuluhan
chhalni hain kaliyon ke sine KHun mein lat-pat pat
aur na jaane kab tak hogi ashkon ki barsat
duniya walo kab bitenge dukh ke ye din-raat
KHun se holi khel rahe hain dharti ke balwan
bagiya lahuluhan
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 238)
- Author : Habeeb Jalib
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.