bagule shor karte hain
bagūle
shor karte haiñ
mirī ḳhvāhish kī duniyā meñ
jahāñ vīrāniyāñ haiñ aur
bahut se bāñjh peḌoñ kī qatāreñ haiñ
ki jin kī be-karānī meñ
bahut din ho ga.e
mausam nahīñ aa.e bahāroñ ke
nahīñ to bulbuleñ chahkīñ
nahīñ to phuul hī mahke
madhur āvāz koyal kī nahīñ aa.ī
bahut din ho ga.e
ki har-sū
gahrī vīrānī kā kaisā daur-daura hai
mirī ḳhvāhish kī duniyā meñ
magar phir bhī
bagūle shor karte haiñ
bagule
shor karte hain
meri KHwahish ki duniya mein
jahan viraniyan hain aur
bahut se banjh peDon ki qataren hain
ki jin ki be-karani mein
bahut din ho gae
mausam nahin aae bahaaron ke
nahin to bulbulen chahkin
nahin to phul hi mahke
madhur aawaz koyal ki nahin aai
bahut din ho gae
ki har-su
gahri virani ka kaisa daur-daura hai
meri KHwahish ki duniya mein
magar phir bhi
bagule shor karte hain
- Book : Khayal Darya (Nazmein) (Pg. 91)
- Author : Adil Hayat
- Publication : Arshia Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.