bahadur shah zafar
ik yahāñ bādshāh thā bachcho
mulk kā ḳhair-ḳhvāh thā bachcho
sab ko bhātī thī nek ḳhū us kī
ḳhuub lagtī thī guftugū us kī
vo ki sher-o-adab kā māhir thā
dar-haqīqat aziim shā.ir thā
naam us ne abū zafar paayā
āḳhirī tājdār kahlāyā
us kī azmat pe dil hai farsh-e-rāh
us ko kahte the sab bahādur shaah
taḳht-e-dillī pe hukmarāñ thā vo
muġhliya daur kā nishāñ thā vo
ahal-e-hindostāñ kā qaa.id thā
vo muhibb-e-vatan mujāhid thā
raas us ko na taḳht-e-shāhī thā
vo ki is bā-vafā sipāhī thā
us ke apne hī ek rishta-dār
nañg-e-hindostāñ hue ġhaddār
kar ke añgrez be-bas-o-majbūr
le ga.e phir use vatan se duur
zulm añgrez kā sahā barsoñ
qaid rañgūn meñ rahā barsoñ
ek yahan baadshah tha bachcho
mulk ka KHair-KHwah tha bachcho
sab ko bhati thi nek KHu us ki
KHub lagti thi guftugu us ki
wo ki sher-o-adab ka mahir tha
dar-haqiqat azim shair tha
nam us ne abu zafar paya
aaKHiri tajdar kahlaya
us ki azmat pe dil hai farsh-e-rah
us ko kahte the sab bahadur shah
taKHt-e-dilli pe hukmaran tha wo
mughliya daur ka nishan tha wo
ahal-e-hindostan ka qaid tha
wo muhibb-e-watan mujahid tha
ras us ko na taKHt-e-shahi tha
wo ki is ba-wafa sipahi tha
us ke apne hi ek rishta-dar
nang-e-hindostan hue ghaddar
kar ke angrez be-bas-o-majbur
le gae phir use watan se dur
zulm angrez ka saha barson
qaid rangun mein raha barson
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.