Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahadur shah zafar

Murtaza Sahil Tasleemi

bahadur shah zafar

Murtaza Sahil Tasleemi

MORE BYMurtaza Sahil Tasleemi

    ik yahāñ bādshāh thā bachcho

    mulk ḳhair-ḳhvāh thā bachcho

    sab ko bhātī thī nek ḳhū us

    ḳhuub lagtī thī guftugū us

    vo ki sher-o-adab māhir thā

    dar-haqīqat aziim shā.ir thā

    naam us ne abū-zafar paayā

    āḳhirī tājdār kahlāyā

    us azmat pe dil hai farsh-e-rāh

    us ko kahte the sab bahādur shaah

    taḳht-e-dillī pe hukmarāñ thā vo

    muġhliya daur nishāñ thā vo

    ahal-e-hindostāñ qaa.id thā

    vo muhibb-e-vatan mujāhid thā

    raas us ko na taḳht-e-shāhī thā

    vo ki ik bā-vafā sipāhī thā

    us ke apne ek rishta-dār

    nañg-e-hindostāñ hue ġhaddār

    kar ke añgrez be-bas-o-majbūr

    le ga.e phir use vatan se duur

    zulm añgrez sahā barsoñ

    qaid rañgūn meñ rahā barsoñ

    ek yahan baadshah tha bachcho

    mulk ka KHair-KHwah tha bachcho

    sab ko bhati thi nek KHu us ki

    KHub lagti thi guftugu us ki

    wo ki sher-o-adab ka mahir tha

    dar-haqiqat azim shair tha

    nam us ne abu-zafar paya

    aaKHiri tajdar kahlaya

    us ki azmat pe dil hai farsh-e-rah

    us ko kahte the sab bahadur shah

    taKHt-e-dilli pe hukmaran tha wo

    mughliya daur ka nishan tha wo

    ahal-e-hindostan ka qaid tha

    wo muhibb-e-watan mujahid tha

    ras us ko na taKHt-e-shahi tha

    wo ki ek ba-wafa sipahi tha

    us ke apne hi ek rishta-dar

    nang-e-hindostan hue ghaddar

    kar ke angrez be-bas-o-majbur

    le gae phir use watan se dur

    zulm angrez ka saha barson

    qaid rangun mein raha barson

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now