bahana DhunD lete hain
suno
kuchh der ham ik dūsre kā
ġham karne vo sunte haiñ
jo kānoñ par paḌe parde
hameñ sunñe nahīñ dete
jo dil meñ hai
hameñ kahne nahīñ dete
ba-zāhir ham
sabhī kuchh sun bhī lete haiñ
khulī āñkhoñ se apnī dekh lete haiñ
chalo phir ab
hamesha ke liye ham aisā karte haiñ
ġhalat-fahmī ḳhud se duur karne
saath mil kar baiThne kā
ik bahāna DhūñD lete haiñ
suno
kuchh der hum ek dusre ka
gham karne wo sunte hain
jo kanon par paDe parde
hamein sunne nahin dete
jo dil mein hai
hamein kahne nahin dete
ba-zahir hum
sabhi kuchh sun bhi lete hain
khuli aankhon se apni dekh lete hain
chalo phir ab
hamesha ke liye hum aisa karte hain
ghalat-fahmi KHud se dur karne
sath mil kar baiThne ka
ek bahana DhunD lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.