bahaar aai
bahār aa.ī to jaise yak-bār
lauT aa.e haiñ phir adam se
vo ḳhvāb saare shabāb saare
jo tere hoñToñ pe mar-miTe the
jo miT ke har baar phir jiye the
nikhar ga.e haiñ gulāb saare
jo terī yādoñ se mushkbū haiñ
jo tere ushshāq kā lahū haiñ
ubal paḌe haiñ azaab saare
malāl-e-ahvāl-e-dostāñ bhī
ḳhumār-e-āġhosh-e-mah-vashāñ bhī
ġhubār-e-ḳhātir ke baab saare
tire hamāre
savāl saare javāb saare
bahār aa.ī to khul ga.e haiñ
na.e sire se hisāb saare
bahaar aai to jaise yak-bar
lauT aae hain phir adam se
wo KHwab sare shabab sare
jo tere honTon pe mar-miTe the
jo miT ke har bar phir jiye the
nikhar gae hain gulab sare
jo teri yaadon se mushkbu hain
jo tere ushshaq ka lahu hain
ubal paDe hain azab sare
malal-e-ahwal-e-dostan bhi
KHumar-e-aghosh-e-mah-washan bhi
ghubar-e-KHatir ke bab sare
tere hamare
sawal sare jawab sare
bahaar aai to khul gae hain
nae sire se hisab sare
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 540)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.