bahaar aur main
bahār-dar-bahār hai
chaman meñ ye pukār hai
fazā-e-murġh-zār hai
havā-e-ḳhush-gavār hai
chalo chalo umang meñ
baḌho baḌho tarang meñ
guloñ pe ik nikhār hai
zamīn lāla-zār hai
ḳhayāl sho.ala-bār hai
nigāh be-qarār hai
bahār go hai josh par
ḳhizāñ hai us ke dosh par
jo bahr hai ḳhush-āb hai
vo ḳhush hai jo habāb hai
samāñ hī lā-javāb hai
sukūñ meñ iztirāb hai
nikhār hai siñgār hai
ubhār hī ubhār hai
na koī rāzdār hai
na koī ġham-gusār hai
na dil pe iḳhtiyār hai
na jī kā e.atibār hai
ajiib merā haal hai
ki zindagī vabāl hai
chaman hai saarā ḳhanda-zan
tuyūr sab haiñ naġhma-zan
khaḌī huī hai har phaban
ḳhizāñ kā pahne pairahan
rahegā husn-e-dahr kyā
na Dhā.egā ye qahr kyā
na dil kā intiḳhāb hai
na koī be-hijāb hai
na ālam-e-shabāb hai
jo dekhtā huuñ ḳhvāb hai
jahān ko baqā kahāñ
karam kahāñ vafā kahāñ
bahaar-dar-bahaar hai
chaman mein ye pukar hai
faza-e-murgh-zar hai
hawa-e-KHush-gawar hai
chalo chalo umang mein
baDho baDho tarang mein
gulon pe ek nikhaar hai
zamin lala-zar hai
KHayal shoala-bar hai
nigah be-qarar hai
bahaar go hai josh par
KHizan hai us ke dosh par
jo bahr hai KHush-ab hai
wo KHush hai jo habab hai
saman hi la-jawab hai
sukun mein iztirab hai
nikhaar hai singar hai
ubhaar hi ubhaar hai
na koi raazdar hai
na koi gham-gusar hai
na dil pe iKHtiyar hai
na ji ka eatibar hai
ajib mera haal hai
ki zindagi wabaal hai
chaman hai sara KHanda-zan
tuyur sab hain naghma-zan
khaDi hui hai har phaban
KHizan ka pahne pairahan
rahega husn-e-dahr kya
na Dhaega ye qahr kya
na dil ka intiKHab hai
na koi be-hijab hai
na aalam-e-shabab hai
jo dekhta hun KHwab hai
jahan ko baqa kahan
karam kahan wafa kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.