bahaar
gulshan-e-ālam meñ jab tashrīf laatī hai bahār
rañg-o-bū ke husn kyā kyā kuchh dikhātī hai bahār
sub.h ko lā kar nasīm dil-kushā har shāḳh par
tāza-tar kis kis tarah ke gul khilātī hai bahār
naunihāloñ kī dikhā kar dam-ba-dam nashv-o-numā
jism meñ rūh-e-ravāñ kyā kyā baḌhātī hai bahār
bulbuleñ chahkārtī haiñ shāḳh-e-gul par jā-ba-jā
bulbuleñ kyā fil-haqīqat chahchahātī hai bahār
hauz-o-favvāroñ ko de kar aabrū phir lutf se
kyā mo.attar farsh sabze kā bichhātī hai bahār
jumbish-e-bād-e-sabā se ho ke ham-dosh-e-nashāt
saath har sabze ke kyā kyā lahlahātī hai bahār
ḳhalq ko har lahza apne husn kī rañgat dikhā
be-takalluf kyā hī har dil meñ samātī hai bahār
majma.a-e-ḳhūbāñ hujūm-e-āshiqāñ aur josh-e-gul
dekh in rañgoñ ko kyā kyā khilkhilātī hai bahār
gul-ruḳhoñ kī dekh kar gul-bāziyāñ har dam nazīr
gul idhar ḳhandāñ udhar dhūmeñ machātī hai bahār
gulshan-e-alam mein jab tashrif lati hai bahaar
rang-o-bu ke husn kya kya kuchh dikhati hai bahaar
subh ko la kar nasim dil-kusha har shaKH par
taza-tar kis kis tarah ke gul khilati hai bahaar
naunihaalon ki dikha kar dam-ba-dam nashw-o-numa
jism mein ruh-e-rawan kya kya baDhati hai bahaar
bulbulen chahkarti hain shaKH-e-gul par ja-ba-ja
bulbulen kya fil-haqiqat chahchahati hai bahaar
hauz-o-fawwaron ko de kar aabru phir lutf se
kya moattar farsh sabze ka bichhati hai bahaar
jumbish-e-baad-e-saba se ho ke ham-dosh-e-nashat
sath har sabze ke kya kya lahlahati hai bahaar
KHalq ko har lahza apne husn ki rangat dikha
be-takalluf kya hi har dil mein samati hai bahaar
majma-e-KHuban hujum-e-ashiqan aur josh-e-gul
dekh in rangon ko kya kya khilkhilati hai bahaar
gul-ruKHon ki dekh kar gul-baziyan har dam nazir
gul idhar KHandan udhar dhumen machati hai bahaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.