bahlawa
ho saktā hai
is manzar se dhuup nikal kar
chhāñv par qābiz ho jaa.e
sūraj kī sat-rangī kirneñ
dhabboñ meñ baT jaa.eñ
vaqt kā girgiT rang badal le
saarī bastī
apnī āñkheñ devtāoñ ko daan meñ de kar so jaa.eñ
lekin
bahlāve kī pahlī bārish paḌne do
ho saktā hai
patthar se ḳhushbū phūTe
aur ḳhushbū se angāre
ho saktā hai angāroñ meñ jal jal kar
miTTī kundan ho jaa.e
ho sakta hai
is manzar se dhup nikal kar
chhanw par qabiz ho jae
suraj ki sat-rangi kirnen
dhabbon mein baT jaen
waqt ka girgiT rang badal le
sari basti
apni aankhen dewtaon ko dan mein de kar so jaen
lekin
bahlawe ki pahli barish paDne do
ho sakta hai
patthar se KHushbu phuTe
aur KHushbu se angare
ho sakta hai angaron mein jal jal kar
miTTi kundan ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.