bahra goya
buland-āhañgiyoñ ne phaaḌ Daale kaan ke parde
huuñ vo mutrib jo ḳhud apnī sadā hī sun nahīñ saktā
havā.eñ le uḌī haiñ silsile ko mere naġhmoñ ke
maiñ in bikhrī huī kaḌiyoñ ko apnī chun nahīñ saktā
ġhurūr-e-ḳhush-navā.ī bojh sā hai merī gardan par
zamāna vajd meñ hai aur maiñ sar dhun nahīñ saktā
buland-ahangiyon ne phaD Dale kan ke parde
hun wo mutrib jo KHud apni sada hi sun nahin sakta
hawaen le uDi hain silsile ko mere naghmon ke
main in bikhri hui kaDiyon ko apni chun nahin sakta
ghurur-e-KHush-nawai bojh sa hai meri gardan par
zamana wajd mein hai aur main sar dhun nahin sakta
- Book : Bhasha Sangam (Quterly Patna) (Pg. 237)
- Author : B. Pradhan,Managing Editor Imteyaz Ahmad Karimi
- Publication : Urdu Directorate Flate No. 202, C Block, Afirs Hotle, Beli Road, Patna (July2014 to March 2015,Issue No.1,4,3,Vol. 21)
- Edition : July2014 to March 2015,Issue No.1,4,3,Vol. 21
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.