bahrupni
ek gardan pe saikḌoñ chehre
aur har chehre par hazāroñ daaġh
aur har daaġh band darvāza
raushnī in se aa nahīñ saktī
raushnī in se jā nahīñ saktī
tañg siina hai hauz masjid kā
dil vo duunā pujāriyoñ ke ba.ad
chāTte rahte haiñ jise kutte
kutte duunā jo chaaT lete haiñ
devtāoñ ko kaaT lete haiñ
jaane kis kokh ne janā is ko
jaane kis sehn meñ javān huī
jaane kis des se chalī kam-baḳht
vaise ye har zabān boltī hai
zaḳhm khiḌkī kī tarah kholtī hai
aur kahtī hai jhāñk kar dil meñ
terā maz.hab, tirā aziim ḳhudā
terī tahzīb ke hasīn sanam
sab ko ḳhatre ne aaj gherā hai
ba.ad un ke jahāñ añdherā hai
sard ho jaatā hai lahū merā
band ho jaatī haiñ khulī āñkheñ
aisā lagtā hai jaise duniyā meñ
sabhī dushman haiñ koī dost nahīñ
mujh ko zinda nigal rahī hai zamīñ
aisā lagtā hai rākshas koī
ek gāgar kamar meñ laTkā kar
āsmāñ par chaḌhegā āḳhir-e-shab
nuur saarā nichoḌ lā.egā
mere taare bhī toḌ lā.egā
ye jo dhartī kā phaT gayā siina
aur bāhar nikal paḌe haiñ julūs
mujh se kahte haiñ tum hamāre ho
maiñ agar in kā huuñ to maiñ kyā huuñ
maiñ kisī kā nahīñ huuñ apnā huuñ
mujh ko tanhā.ī ne diyā hai janam
merā sab kuchh akele-pan se hai
kaun pūchhegā mujh ko mele meñ
saath jis din qadam baḌhā.ūñgā
chaal maiñ apnī bhuul jā.ūñgā
ye aur aise hī chand aur savāl
DhūñDne par bhī aaj tak mujh ko
jin ke maañ baap kā milā na surāġh
zehn meñ ye uñDel detī hai
mujh ko muTThī meñ bheñch letī hai
chāhtā huuñ ki qatl kar duuñ ise
vaar lekin jab is pe kartā huuñ
mere siine pe zaḳhm ubharte haiñ
mere māthe se ḳhuuñ Tapaktā hai
jaane kyā merā is kā rishta hai
āñdhiyoñ meñ azaan dī maiñ ne
sañkh phūñkā añdherī rātoñ meñ
ghar ke bāhar salīb laTkā.ī
ek ik dar se us ko Thukrāyā
shahr se duur jā ke pheñk aayā
aur elaan kar diyā ki uTho
barf sī jam ga.ī hai sīnoñ meñ
garm bosoñ se us ko pighlā do
kar lo jo bhī gunāh vo kam hai
aaj kī raat jashn-e-ādam hai
ye mirī āstīn se niklī
rakh diyā dauḌ ke charāġh pe haath
mal diyā phir añdherā chehre par
hoñT se dil kī baat lauT ga.ī
dar tak aa ke barāt lauT ga.ī
us ne mujh ko alag bulā ke kahā
aaj kī zindagī kā naam hai ḳhauf
ḳhauf hī vo zamīn hai jis meñ
firqe ugte haiñ firqe palte haiñ
dhāre sāgar se kaT ke chalte haiñ
ḳhauf jab tak diloñ meñ baaqī hai
sirf chehra badalte rahnā hai
sirf lahja badalte rahnā hai
koī mujh ko miTā nahīñ saktā
jashn-e-ādam manā nahīñ saktā
ek gardan pe saikDon chehre
aur har chehre par hazaron dagh
aur har dagh band darwaza
raushni in se aa nahin sakti
raushni in se ja nahin sakti
tang sina hai hauz masjid ka
dil wo duna pujariyon ke baad
chaTte rahte hain jise kutte
kutte duna jo chaT lete hain
dewtaon ko kaT lete hain
jaane kis kokh ne jana is ko
jaane kis sehn mein jawan hui
jaane kis des se chali kam-baKHt
waise ye har zaban bolti hai
zaKHm khiDki ki tarah kholti hai
aur kahti hai jhank kar dil mein
tera mazhab, tera azim KHuda
teri tahzib ke hasin sanam
sab ko KHatre ne aaj ghera hai
baad un ke jahan andhera hai
sard ho jata hai lahu mera
band ho jati hain khuli aankhen
aisa lagta hai jaise duniya mein
sabhi dushman hain koi dost nahin
mujh ko zinda nigal rahi hai zamin
aisa lagta hai rakshas koi
ek gagar kamar mein laTka kar
aasman par chaDhega aaKHir-e-shab
nur sara nichoD laega
mere tare bhi toD laega
ye jo dharti ka phaT gaya sina
aur bahar nikal paDe hain julus
mujh se kahte hain tum hamare ho
main agar in ka hun to main kya hun
main kisi ka nahin hun apna hun
mujh ko tanhai ne diya hai janam
mera sab kuchh akele-pan se hai
kaun puchhega mujh ko mele mein
sath jis din qadam baDhaunga
chaal main apni bhul jaunga
ye aur aise hi chand aur sawal
DhunDne par bhi aaj tak mujh ko
jin ke man bap ka mila na suragh
zehn mein ye unDel deti hai
mujh ko muTThi mein bhench leti hai
chahta hun ki qatl kar dun ise
war lekin jab is pe karta hun
mere sine pe zaKHm ubharte hain
mere mathe se KHun Tapakta hai
jaane kya mera is ka rishta hai
aandhiyon mein azan di main ne
sankh phunka andheri raaton mein
ghar ke bahar salib laTkai
ek ek dar se us ko Thukraya
shahr se dur ja ke phenk aaya
aur elan kar diya ki uTho
barf si jam gai hai sinon mein
garm boson se us ko pighla do
kar lo jo bhi gunah wo kam hai
aaj ki raat jashn-e-adam hai
ye meri aastin se nikli
rakh diya dauD ke charagh pe hath
mal diya phir andhera chehre par
honT se dil ki baat lauT gai
dar tak aa ke baraat lauT gai
us ne mujh ko alag bula ke kaha
aaj ki zindagi ka nam hai KHauf
KHauf hi wo zamin hai jis mein
firqe ugte hain firqe palte hain
dhaare sagar se kaT ke chalte hain
KHauf jab tak dilon mein baqi hai
sirf chehra badalte rahna hai
sirf lahja badalte rahna hai
koi mujh ko miTa nahin sakta
jashn-e-adam mana nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.