bahut be-abru ho kar
bajī ghanTī jo chhuTTī kī to hañste gaate ham nikle
kisī moTe se maulā-baḳhsh ke sah kar sitam nikle
batāo haath par paḌne se us kā haal kyā hogā
nazar aa jaate haiñ jis bed ke ham sab kā dam nikle
kabhī jab bhuul kar baste ko apne khol kar baiThe
phaTī niklīñ kitābeñ aur sab TuuTe qalam nikle
natīja-gāh se nikle to is hālat meñ ham nikle
ki le kar apne dil meñ fail ho jaane kā ġham nikle
bahāna Taañg kī taklīf kā aisā kiyā ham ne
ki lañgḌāte chale aur gir paḌe jab do qadam nikle
nikālā mumtahin ne naql karne se to bole ham
bahut be-ābrū ho kar tire kamre se ham nikle
baji ghanTi jo chhuTTi ki to hanste gate hum nikle
kisi moTe se maula-baKHsh ke sah kar sitam nikle
batao hath par paDne se us ka haal kya hoga
nazar aa jate hain jis bed ke hum sab ka dam nikle
kabhi jab bhul kar baste ko apne khol kar baiThe
phaTi niklin kitaben aur sab TuTe qalam nikle
natija-gah se nikle to is haalat mein hum nikle
ki le kar apne dil mein fail ho jaane ka gham nikle
bahana Tang ki taklif ka aisa kiya hum ne
ki langDate chale aur gir paDe jab do qadam nikle
nikala mumtahin ne naql karne se to bole hum
bahut be-abru ho kar tere kamre se hum nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.