bahut dinon baad
bahut dinoñ ba.ad
tere ḳhat ke udaas lafzoñ ne
terī chāhat ke zā.iqoñ kī tamām ḳhushbū
mirī ragoñ meñ uñDel dī hai
bahut dinoñ ba.ad
terī bāteñ
tirī mulāqāt kī dhanak se dahaktī rāteñ
ujaaḌ āñkhoñ ke pyaas pātāl kī tahoñ meñ
visāl-va.adoñ kī chand chiñgāriyoñ ko sāñsoñ kī aañch de kar
sharīr sho.aloñ kī sar-kashī ke tamām tevar
sikhā ga.ī haiñ
tire mahakte mahīn lafzoñ kī ābshāreñ
bahut dinoñ ba.ad phir se
mujh ko rulā ga.ī haiñ
bahut dinoñ ba.ad
maiñ ne sochā to yaad aayā
ki mere andar kī raakh ke Dher par abhī tak
tire zamāne likhe hue haiñ
sabhī fasāne likhe hue haiñ
bahut dinoñ ba.ad
maiñ ne sochā to yaad aayā
ki terī yādoñ kī kirchiyāñ
mujh se kho ga.ī haiñ
tire badan kī tamām ḳhushbū
bikhar ga.ī hai
tire zamāne kī chāhatīñ
sab nishāniyāñ
sab sharārteñ
sab hikāyateñ sab shikāyateñ jo kabhī hunar meñ
ḳhayāl thiiñ ḳhvāb ho ga.ī haiñ
bahut dinoñ ba.ad
maiñ ne sochā to yaad aayā
ki maiñ bhī kitnā badal gayā huuñ
bichhaḌ ke tujh se
ka.ī lakīroñ meñ Dhal gayā huuñ
maiñ apne cigarette ke be-irāda dhueñ kī sūrat
havā meñ tahlīl ho gayā huuñ
na DhūñDh merī vafā ke naqsh-e-qadam ke reze
ki maiñ to terī talāsh ke be-kanār sahrā meñ
vahm ke be-amāñ bagūloñ ke vaar sah kar
udaas rah kar
na-jāne kis rah meñ kho gayā huuñ
bichhaḌ ke tujh se tirī tarah kyā batā.ūñ maiñ bhī
na jaane kis kis kā ho gayā huuñ
bahut dinoñ ba.ad
maiñ ne sochā to yaad aayā
bahut dinon baad
tere KHat ke udas lafzon ne
teri chahat ke zaiqon ki tamam KHushbu
meri ragon mein unDel di hai
bahut dinon baad
teri baaten
teri mulaqat ki dhanak se dahakti raaten
ujaD aankhon ke pyas patal ki tahon mein
visal-wadon ki chand chingariyon ko sanson ki aanch de kar
sharir shoalon ki sar-kashi ke tamam tewar
sikha gai hain
tere mahakte mahin lafzon ki aabshaaren
bahut dinon baad phir se
mujh ko rula gai hain
bahut dinon baad
main ne socha to yaad aaya
ki mere andar ki rakh ke Dher par abhi tak
tere zamane likhe hue hain
sabhi fasane likhe hue hain
bahut dinon baad
main ne socha to yaad aaya
ki teri yaadon ki kirchiyan
mujh se kho gai hain
tere badan ki tamam KHushbu
bikhar gai hai
tere zamane ki chahatin
sab nishaniyan
sab shararten
sab hikayaten sab shikayaten jo kabhi hunar mein
KHayal thin KHwab ho gai hain
bahut dinon baad
main ne socha to yaad aaya
ki main bhi kitna badal gaya hun
bichhaD ke tujh se
kai lakiron mein Dhal gaya hun
main apne cigarette ke be-irada dhuen ki surat
hawa mein tahlil ho gaya hun
na DhunDh meri wafa ke naqsh-e-qadam ke reze
ki main to teri talash ke be-kanar sahra mein
wahm ke be-aman bagulon ke war sah kar
udas rah kar
na-jaane kis rah mein kho gaya hun
bichhaD ke tujh se teri tarah kya bataun main bhi
na jaane kis kis ka ho gaya hun
bahut dinon baad
main ne socha to yaad aaya
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 739)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.