bahut ghuTan hai
bahut ghuTan hai koī sūrat-e-bayāñ nikle
agar sadā na uThe kam se kam fuġhāñ nikle
faqīr-e-shahr ke tan par libās baaqī hai
amīr-e-shahr ke armāñ abhī kahāñ nikle
haqīqateñ haiñ salāmat to ḳhvāb bahutere
udaas kyuuñ ho jo kuchh ḳhvāb rā.egāñ nikle
vo falsafe jo har ik āstāñ ke dushman the
amal meñ aa.e to ḳhud vaqf-e-āstāñ nikle
idhar bhī ḳhaak uḌī hai udhar bhī zaḳhm paḌe
jidhar se ho ke bahāroñ ke kārvāñ nikle
sitam ke daur meñ ham ahl-e-dil hī kaam aa.e
zabāñ pe naaz thā jin ko vo be-zabāñ nikle
bahut ghuTan hai koi surat-e-bayan nikle
agar sada na uThe kam se kam fughan nikle
faqir-e-shahr ke tan par libas baqi hai
amir-e-shahr ke arman abhi kahan nikle
haqiqaten hain salamat to KHwab bahutere
udas kyun ho jo kuchh KHwab raegan nikle
wo falsafe jo har ek aastan ke dushman the
amal mein aae to KHud waqf-e-astan nikle
idhar bhi KHak uDi hai udhar bhi zaKHm paDe
jidhar se ho ke bahaaron ke karwan nikle
sitam ke daur mein hum ahl-e-dil hi kaam aae
zaban pe naz tha jin ko wo be-zaban nikle
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 192)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.