bahut hai ek nazar
qadam qadam pe mujhe ye ḳhayāl aatā hai
tirī nazar kā sahārā mile to kyā kam hai!
ḳhizāñ meñ rah ke bahāroñ kī aarzū na karūñ
jo zaḳhm-e-dil bhī mahak kar khile to kyā kam hai!
hazār chaak haiñ dāmān-e-zindagī ke magar
jo ek chāk-e-garebāñ sile to kyā kam hai!
tamām tiira manāzil se maiñ guzar jā.ūñ
jo ek sham-e-mohabbat jale to kyā kam hai!
vo giit jo mire hoñToñ pe aa nahīñ saktā
vo ashk-e-ġham ke sahāre Dhale to kyā kam hai!
rah-e-hayāt meñ dīvāngī kī manzil par
sambhal sambhal dil-e-nādāñ chale to kyā kam hai!
ye gomtī ye avadh kī hasīn raqqāsa
maiñ sochtā huuñ ise rāz-dāñ banā Dālūñ
fazā pe surma.ī āñchal uḌhā ke duur talak
isī zamīñ pe nayā āsmāñ banā Dālūñ
ye mere ashk-e-mohabbat ke pāsdār bhī haiñ
bahut hai ek nazar bhī jo ġham kī mahram ho
maiñ is nazar se nayā āstāñ banā Dālūñ
qadam qadam pe mujhe ye ḳhayāl aatā hai
tirī nazar kā sahārā mile to kyā kam hai!
qadam qadam pe mujhe ye KHayal aata hai
teri nazar ka sahaara mile to kya kam hai!
KHizan mein rah ke bahaaron ki aarzu na karun
jo zaKHm-e-dil bhi mahak kar khile to kya kam hai!
hazar chaak hain daman-e-zindagi ke magar
jo ek chaak-e-gareban sile to kya kam hai!
tamam tera manazil se main guzar jaun
jo ek sham-e-mohabbat jale to kya kam hai!
wo git jo mere honTon pe aa nahin sakta
wo ashk-e-gham ke sahaare Dhale to kya kam hai!
rah-e-hayat mein diwangi ki manzil par
sambhal sambhal dil-e-nadan chale to kya kam hai!
ye gomti ye awadh ki hasin raqqasa
main sochta hun ise raaz-dan bana Dalun
faza pe surmai aanchal uDha ke dur talak
isi zamin pe naya aasman bana Dalun
ye mere ashk-e-mohabbat ke pasdar bhi hain
bahut hai ek nazar bhi jo gham ki mahram ho
main is nazar se naya aastan bana Dalun
qadam qadam pe mujhe ye KHayal aata hai
teri nazar ka sahaara mile to kya kam hai!
- Book : shahr-e-aarzu(rekhta website) (Pg. 97)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.