bahut kaThin hai safar
maiñ apne jism se bāhar nikal ke dekhūñgā
ye kā.enāt mujhe kis tarah kī lagtī hai
fareb-e-zāt kā ehsās garche achchhā hai
bahut kaThin hai safar āgahī kī manzil kā
bhaTak rahā huuñ maiñ sadiyoñ se aisī duniyā meñ
jahāñ pe jism se ho kar guzarnā paḌtā hai
har ek ḳhvāb ko rasta badalnā paḌtā hai
main apne jism se bahar nikal ke dekhunga
ye kaenat mujhe kis tarah ki lagti hai
fareb-e-zat ka ehsas garche achchha hai
bahut kaThin hai safar aagahi ki manzil ka
bhaTak raha hun main sadiyon se aisi duniya mein
jahan pe jism se ho kar guzarna paDta hai
har ek KHwab ko rasta badalna paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.