Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut KHub-surat hamara watan hai

Ghazanfar

bahut KHub-surat hamara watan hai

Ghazanfar

bahut ḳhūbsūrat hamārā vatan hai

anokhā hai sab se nirālā vatan hai

sabhī rang ke phuul is meñ khile haiñ

bahishtī manāzir bhī is ko mile haiñ

kahīñ rāt-rānī ḳhushbū basī hai

kahīñ par chamelī nik.hat ghulī hai

kahīñ par dhanak sāt-rañgī tanī hai

kahīñ nuur koī chādar bichhī hai

kisī samt meñ koī dariyā ravāñ hai

kahīñ kohsāroñ dilkash samāñ hai

kahīñ laal piile hare qumqume haiñ

kahīñ pāniyoñ meñ diye jal rahe haiñ

kahīñ paa.e jāmoñ meñ Topī khaḌī hai

kahīñ paañv meñ koī dhotī bañdhī hai

kahīñ suiT saaḌī raunaq lagī hai

kahīñ ghāghre ajab dilkashī hai

kisī hathelī pe mehñdī rachī hai

kisī paañv meñ koī laalī lagī hai

kisī sar pe bāloñ ke guchchhe bane haiñ

kahīñ baal pairoñ pe laTke hue haiñ

kahīñ saat rangoñ pichkāriyāñ haiñ

ki jin se badan-bīch gul-kāriyāñ haiñ

kahīñ geñd balle se lag kar hai uḌtī

kahīñ koī DanDe se gillī uchhaltī

zamīñ ko bichhā.e koī so rahā hai

ka.ī ḳhvāb bhī niiñd meñ bo rahā hai

koī pāniyoñ meñ chhalāñgeñ lagātā

ḳhalāoñ meñ koī hai kartab dikhātā

koī saañp ko apnā sāthī banātā

use biin apnī dhun par nachātā

koī apne añgoñ aasan lagātā

koī apne tan tamāshā dikhātā

koī apnī āñkhoñ se man jīt.tā hai

adāoñ se duniyā dhan jīt.tā hai

jidhar dekhiye ik anokhā samāñ hai

udāsī meñ bhī zindagī shādmāñ hai

har ik tarah se ye niyārā vatan hai

bahut ḳhūbsūrat hamārā vatan hai

bahut KHubsurat hamara watan hai

anokha hai sab se nirala watan hai

sabhi rang ke phul is mein khile hain

bahishti manazir bhi is ko mile hain

kahin raat-rani ki KHushbu basi hai

kahin par chameli ki nikhat ghuli hai

kahin par dhanak sat-rangi tani hai

kahin nur ki koi chadar bichhi hai

kisi samt mein koi dariya rawan hai

kahin kohsaron ka dilkash saman hai

kahin lal pile hare qumqume hain

kahin paniyon mein diye jal rahe hain

kahin pae jamon mein Topi khaDi hai

kahin panw mein koi dhoti bandhi hai

kahin suiT saDi ki raunaq lagi hai

kahin ghaghre ki ajab dilkashi hai

kisi ki hatheli pe mehndi rachi hai

kisi panw mein koi lali lagi hai

kisi sar pe baalon ke guchchhe bane hain

kahin baal pairon pe laTke hue hain

kahin sat rangon ki pichkariyan hain

ki jin se badan-bich gul-kariyan hain

kahin gend balle se lag kar hai uDti

kahin koi DanDe se gilli uchhalti

zamin ko bichhae koi so raha hai

kai KHwab bhi nind mein bo raha hai

koi paniyon mein chhalangen lagata

KHalaon mein koi hai kartab dikhata

koi sanp ko apna sathi banata

use bin ki apni dhun par nachata

koi apne angon ka aasan lagata

koi apne tan ka tamasha dikhata

koi apni aankhon se man jitta hai

adaon se duniya ka dhan jitta hai

jidhar dekhiye ek anokha saman hai

udasi mein bhi zindagi shadman hai

har ek tarah se ye niyara watan hai

bahut KHubsurat hamara watan hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now