bahut KHub-surat ho tum
bahut ḳhūb-sūrat ho tum bahut ḳhūb-sūrat ho tum
kabhī maiñ jo kah duuñ mohabbat hai tum se
to mujh ko ḳhudā rā ġhalat mat samajhnā
ki merī zarūrat ho tum bahut ḳhūb-sūrat ho tum
haiñ phūloñ kī Daalī pe bāñheñ tumhārī
haiñ ḳhāmosh jaadū nigāheñ tumhārī
jo kāñTe huuñ sab apne dāman meñ rakh luuñ
sajā.ūñ maiñ kaliyoñ se rāheñ tumhārī
nazar se zamāne kī ḳhud ko bachānā
kisī aur se dekho dil mat lagānā
ki merī amānat ho tum
bahut ḳhūb-sūrat ho tum
hai chehrā tumhārā ki din hai sunahrā
hai chehrā tumhārā ki din hai sunahrā
aur is par ye kaalī ghaTāoñ kā pahrā
gulāboñ se nāzuk mahaktā badan hai
ye lab haiñ tumhāre ki khiltā chaman hai
bikhero jo zulfeñ to sharmā.e bādal
farishte bhī dekheñ to ho jaa.eñ pāgal
vo pākīza mūrat ho tum bahut ḳhūb-sūrat ho tum
jo ban ke kalī muskurātī hai aksar
shab-e-hijr meñ jo rulātī hai aksar
jo lamhoñ hī lamhoñ meñ duniyā badal de
jo shā.ir ko de jaa.e pahlū ġhazal ke
chhupānā jo chāheñ chhupā.ī na jaa.e
bhulānā jo chāheñ bhulā.ī na jaa.e
vo pahlī mohabbat ho tum bahut ḳhūb-sūrat ho tum
bahut KHub-surat ho tum bahut KHub-surat ho tum
kabhi main jo kah dun mohabbat hai tum se
to mujh ko KHuda ra ghalat mat samajhna
ki meri zarurat ho tum bahut KHub-surat ho tum
hain phulon ki Dali pe banhen tumhaari
hain KHamosh jadu nigahen tumhaari
jo kanTe hun sab apne daman mein rakh lun
sajaun main kaliyon se rahen tumhaari
nazar se zamane ki KHud ko bachana
kisi aur se dekho dil mat lagana
ki meri amanat ho tum
bahut KHub-surat ho tum
hai chehra tumhaara ki din hai sunahra
hai chehra tumhaara ki din hai sunahra
aur is par ye kali ghaTaon ka pahra
gulabon se nazuk mahakta badan hai
ye lab hain tumhaare ki khilta chaman hai
bikhero jo zulfen to sharmae baadal
farishte bhi dekhen to ho jaen pagal
wo pakiza murat ho tum bahut KHub-surat ho tum
jo ban ke kali muskuraati hai aksar
shab-e-hijr mein jo rulati hai aksar
jo lamhon hi lamhon mein duniya badal de
jo shair ko de jae pahlu ghazal ke
chhupana jo chahen chhupai na jae
bhulana jo chahen bhulai na jae
wo pahli mohabbat ho tum bahut KHub-surat ho tum
- Book : Kashkol (Pg. 141)
- Author : Tahir Faraz
- Publication : Isteara Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.