bahut mumkin hai
bahut mumkin hai maiñ shā.ir na hotī
to ban kar maiñ mujāvar
kisī dargāh par jhāḌū lagātī
yā ban ke maiñ koī majzūb hastī
havāoñ meñ kahīñ raste banātī
ye duniyā phir bhī mere gird
ik majma.a lagātī
kabhī hañstī
kabhī Thokar lagātī
maiñ apnī raal se likhtī fasāne
badalte ye sabhī manzar
agar putlī maiñ āñkhoñ kī ghumātī
tū pīchhe bhaag duniyā ke
ye tujh se duur jaa.e
tū Thokar de use jis din
tere pīchhe ye aa.e
agar tū paas duniyā ke to
rab se duur hogā
agar ho paas rab ke to
ye qadmoñ meñ samā.e
bahut mumkin hai main shair na hoti
to ban kar main mujawar
kisi dargah par jhaDu lagati
ya ban ke main koi majzub hasti
hawaon mein kahin raste banati
ye duniya phir bhi mere gird
ek majma lagati
kabhi hansti
kabhi Thokar lagati
main apni ral se likhti fasane
badalte ye sabhi manzar
agar putli main aankhon ki ghumati
tu pichhe bhag duniya ke
ye tujh se dur jae
tu Thokar de use jis din
tere pichhe ye aae
agar tu pas duniya ke to
rab se dur hoga
agar ho pas rab ke to
ye qadmon mein samae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.