bahut naraaz hun KHud se
bahut nārāz huuñ ḳhud se
na jaane kitne barsoñ meñ
riyāzat kar ke is dil ne
baḌī mushkil se sīkhā thā
havā kī dastakoñ pe apne darvāze ko band rakhnā
ye shāyad ik darīche kī sharārat kā hai ḳhamyāza
laveñ sab jhilmilā uTThīñ
ki phir fānūs bhī pighlā
kahīñ par ab añdhere kā nahīñ hai ek bhī reza
bahut nārāz huuñ ḳhud se
bahut naraaz hun KHud se
na jaane kitne barson mein
riyazat kar ke is dil ne
baDi mushkil se sikha tha
hawa ki dastakon pe apne darwaze ko band rakhna
ye shayad ek dariche ki shararat ka hai KHamyaza
lawen sab jhilmila uTThin
ki phir fanus bhi pighla
kahin par ab andhere ka nahin hai ek bhi reza
bahut naraaz hun KHud se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.