bain-ul-admain
ye tazād-e-jān-o-jasad jise
tū visāl kah le firāq meñ
tū nashāt kah le mirāq meñ
tū ruvāq kah le ki bahr-o-bar
maiñ mazāq kah luuñ ki ḳhair-o-shar
tere mere kahne meñ kuchh nahīñ
ki tirā yaqīn mirā gumāñ
ki mirā gumān tirā yaqīñ
tire dark-o-hosh-o-havās kī
mire vajd-o-vahm-o-qayās kī
yahī ek pal to asaas hai
yahī ek pal tire paas hai
yahī ek pal mire paas hai
isī ek pal ko murūr hai
isī ek pal ko davām hai
isī ek pal ko qayām hai
isī ek pal ko salām hai
na hayāt azal na ajal abad
yahī pal azal yahī pal abad!
ye tazad-e-jaan-o-jasad jise
tu visal kah le firaq mein
tu nashat kah le miraq mein
tu ruwaq kah le ki bahr-o-bar
main mazaq kah lun ki KHair-o-shar
tere mere kahne mein kuchh nahin
ki tera yaqin mera guman
ki mera guman tera yaqin
tere dark-o-hosh-o-hawas ki
mere wajd-o-wahm-o-qayas ki
yahi ek pal to asas hai
yahi ek pal tere pas hai
yahi ek pal mere pas hai
isi ek pal ko murur hai
isi ek pal ko dawam hai
isi ek pal ko qayam hai
isi ek pal ko salam hai
na hayat azal na ajal abad
yahi pal azal yahi pal abad!
- Book : aaina dar aaina (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.