baisakh mein barish
sūkhī dīvār pe meñh aa ke musalsal barsā
chhat ke pahlū meñ Tikā
dhaat kā parnāla bahā
shahar ko jaatī siyāhkār saḌak bhiig ga.ī
dekh ke badliyāñ ramzān musalsal bhāgā
khīñch ke laa.ī havā meñh kā aabī dhāgā
khet ke beach meñ bādal kā garebān khulā
aur dhartī ke khule muñh meñ ākāsh ghulā
bhūsa khaliyān ke pālān pe jā auñdhā girā
raat ke pichhle pahar gaahī kanak
bhiig ga.ī
sukhi diwar pe meinh aa ke musalsal barsa
chhat ke pahlu mein Tika
dhat ka parnala baha
shahar ko jati siyahkar saDak bhig gai
dekh ke badliyan ramzan musalsal bhaga
khinch ke lai hawa meinh ka aabi dhaga
khet ke beach mein baadal ka gareban khula
aur dharti ke khule munh mein aakash ghula
bhusa khaliyan ke palan pe ja aundha gira
raat ke pichhle pahar gahi kanak
bhig gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.