baiza-e-mahram
ahd-e-pārīna meñ bhī
ziist par thā vahm kā kitnā asar
ek oracle kī talqīñ maan kar
shaah āgastas kī biivī 'leviyā'
apnī añgiyā kī fazā-e-garm meñ rakhtī thī ik marzī kā anDā roz-o-shab
is ko ye vishvās thā
is ke hone vaale bachche aur is chūze kī jins
ek hogī āḳhirash yūñhī huā
āshiyāñ garm-o-shoḳh-o-narm se
ek nar niklā to us kī kokh se bhī ek nar paidā huā taibres
aur phir us ittifāqī vaaq.e ne to zanān-e-rom meñ
aam kar dī baiza-e-mahram kī tarbiyat kī rasm
ahd-e-parina mein bhi
zist par tha wahm ka kitna asar
ek oracle ki talqin man kar
shah aagastas ki biwi 'lewiya'
apni angiya ki faza-e-garm mein rakhti thi ek marzi ka anDa roz-o-shab
is ko ye wishwas tha
is ke hone wale bachche aur is chuze ki jins
ek hogi aaKHirash yunhi hua
aashiyan garm-o-shoKH-o-narm se
ek nar nikla to us ki kokh se bhi ek nar paida hua taibres
aur phir us ittifaqi waqe ne to zanan-e-rom mein
aam kar di baiza-e-mahram ki tarbiyat ki rasm
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 194)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, (Edition July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : Edition July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.